Ruh tarapti rahe dil machalta rahe,
Zindagi ka maza he ke har saans se,
Ya Muhammad Muhammad, peace and blessings of Allah be upon him,
nikalta rahe
Dil mein ishq e Nabi, peace and blessings of Allah be upon him,
ki ho aisi lagan…
Ya Muhammad Muhammad, peace and blessings of Allah be upon him,
mein kehta raha,
Noor ke moti-on ki lari ban gaee,
Ayaton se milata raha ayatain,
Phir jo dekha to Naat e Nabi, peace and blessings of Allah be
upon him, ban gaye
Jo bhi ansoo bahe mere Mehboob ke,
Sab ke sab abr e rehmat ke cheente bane,
Chah gaee raat jab zulf lehra gaee,
Jab tabassum kiya chandani ban gaee
Yeh to maana ke jannat hai bagh e haseen,
Khoobsurat he sab khuld ki sar zameen,
Husn e jannat ko phir jab samayta gaya,
Sarwar e ambiya ki galee ban gaee
Jab chirah tazkira un ke rukhsaar ka,
Waduha par liya, wal qamar keh dia,
Sooraton kee tilawat bhi hoti rahi,
Naat bhi ho gayi baat bhi ban gayi
Sab se saim zamane main mazoor tha,
Sab se bekas tha bebas tha majboor tha,
Un ko reham agaya mere halaat par,
Meri azmat meri bebasi ban gaee
Dil mein ishq e Nabi, peace and blessings of Allah be upon him,
ki ho aisi lagan,
Ruh tarapti rahe dil machalta rahe,
Zindagi ka maza he ke har saans se,
Ya
Muhammad Muhammad, peace and blessings of Allah be upon him, nikalta
rahe
0 comments:
Post a Comment