Hum ko bulana Ya Rasulallah
Hum ko bulana Ya
Habiballah
Kabhi to sabz gumbad ka ujaala
hum bhi dekhenge
Hum-e bulwayenge aaqa Madinah
hum bhi dekhenge
Dharak uthe ga dil ya dharakna
bhool jayega
Dil-e-bismil ka uss dar per
tamasha hum bhi dekhenge
Adab se haath baandhe unke roze
par khare hoonge
Sunehri jaliyon ka youn nazara
hum bhi dekhenge
Barasti gumbad-e-khizra se
takrati huwi bundhe
Wahan par shan se baarish
barasna hum bhi dekhenge
Dar-e-dawlat se lawtaya nahin
jaata koi khaali
Wahan khayrat ka batna khudaya
hum bhi dekhenge
Guzare raat din apne issi umeed
par humne
Kissi din to jamal-e-ru e zeba
hum bhi dekhenge
Dum-e-rukhsat qadam man bharke
hain mehsoos karte he
Kisse he jaake lawt aane ka
yaara hum bhi dekhenge
Pohonch jayenge jiss din e
ujaagar unke qadmon me
Kisse kehte hain jannat ka
nazara hum bhi dekhenge
0 comments:
Post a Comment