Phir
karam hogaya, mein Madine chala
Saaqiya
mein pilaa, mein Madine chala
Masto
be khud bana, mein Madine chala
Kaif-sa
chaa gaya, mein Madine chala
Jhoomta
jhoomta, mein Madine chala
Kya
bata-o mili, dil ko kaisi kushi
Jab
ye muzda suna, mein Madine chala
Muskuraane
lagi, mere dil ki gali
Guncha
guncha khila, mein Madine chala
Phir
ijaazat mili, jab khabar ye suni
Dil
mera jhoomta, mein Madine chala
Ashke
thamte nahi, payon jamte nahi
Lad
khadaata huwa, mein Madine chala
Mere
gande qadam, aur Unka Haram
Laaj
rakhna Khuda, mein Madine chala
Ay
shajar ay hajar, tum bi shamso qamar
Dheko
dheko zara, mein Madine chala
Dekh
taray mujhe, ye nazare mujhe
Tum
bi dheko zara, mein Madine chala
Rooh
he muztar teher, tu nikalna udhar
Itni
jaldi hi kya, mein Madine chala
Haath
uthte rahe, mujh ko dete rahe
Woh
talab se siwaa, mein Madine chala
Mere
Aqa ka ghar, ho ga peshe nazar
Chaahiye
aur kya, mein Madine chala
Mere
Siddique Umar, ho salaam aap par
Aur
rehmat saada, mein Madine chala
Woh
Uhud ki zamin, jis ke andar makeen
Mere
Hamza piyaa, mein Madine chala
Ghumbade
sabz par, jab peshe nazar
Kya
suroor aayega, mein Madine chala
Unke
Minaar par, jab pare gi nazar
Kya
suroor aayega, mein Madine chala
Mustafa
ke Huzoor, apne sare qusoor
Baksh
wane chala, mein Madine chala
Kya
karega idhar, baandh raste safar
Chal
Ubaid-e Raza, mein Madine chala
Kya
he tune kaha, ai Ubaid-e Raza
Sonch
to kuch zara, mein Madine chala
Lutf
to jab mile, mere Murshid kahe
Chal
Ubaid-e Raza, mein Madine chala
0 comments:
Post a Comment