Jis
raah chal diye he, kooche basa diye he.
Jab
agayi he josh e rahmat pe unki ankhe,
Jalte
bujha diye he, rote hassa diye he.
Ik
dil hamara kya he, aazar uska kitna,
Tum
ne to chalte phirte, murde jila diye he.
Unke
nisaar koyi kaise hi runj mein ho,
Jab
yaad aagaye he, sab gham bhula diye he.
Hum
se faqir bhi ab pheri ko utthe honge,
Ab
to Ghani ke dar par, bistar jama diye he.
Asra
mein guzre jis dam bere pe qudsiyon ke,
Hone
lagi salaami, parchum jhuka diye he.
Aane
do ya dabo do ab to tumhari janib,
Kashti
tumhi pe chori, langar utha diye he.
Dulha
se itna kehdo pyaare sawari roko,
Mushkil
mein he baraati, purkhar la diye he.
Allah
re kya jahannam ab bhi na sard hoga,
Ro
ro ke Mustafa ne dariya baha diye he.
Mere
kareem se gar qatra kisi ne maanga,
Dariya
baha diye he, durbe baha diye he.
Mulk
e sukhan ko shahi tum ko Raza musallam,
Jis
simt agaye he, sikke bitha diye he.
0 comments:
Post a Comment