Hein wo jaaliyan sunehri meri hasraton ka mehwar
Wo sahara mujh ko denge jo hein khaas Rabb ke Dilbarr
Mujhe pohnch kar Madine nahin lawt kar he aana
Sooe Taiba jaane walo, mujhe chor kar na jaana
Mein tharrap raha huun, meri be bassi to dekho
Mein aseer-e ranj-o-gham huun, meri be kali to dekho
Zara Rawza-e-Nabi ka mujhe raasta dikhaana
Sooe Taiba jaane walo, mujhe chor kar na jaana
Darr-e-Mustafa pe meri jab haazari lage gi
Mujhe phir karam se unke nayeh zindagi mille gi
Mere lab pe raat din ho Shahe Batuha ka taraana
Sooe Taiba jaane walo, mujhe chor kar na jaana
Koi kal ke aik pal ka nahin kuch bhi hai barhossa
Mujhe hum safar bana lo kahin reh na jaoon tanha
Dar-e-Mustafa hai Ishrat mera akhri tikhaana
Sooe Taiba jaane walo, mujhe chor kar na jaana
0 comments:
Post a Comment