Har
waqt Tasawwur mein Madine ki gali ho
Aur yaad Muhammad ki mere dil mein basi ho
Aur yaad Muhammad ki mere dil mein basi ho
Do soz Bilal Aqa mile dard Raza sa
Sarkaar ata ishq Owais-e-Qarni ho
Ai kaash! Mein banjaoon Madine ka musaafir
Phir roti huwi Taiba ko baraat chali ho
Phir Rehmat-e-Bari se chaluu Su-e-Madinah
Ai kaash! Muqaddar se mayassar woh ghadi ho
Jab aaon Madine me to har chaak girebaan
Aankhaon se barasti huwi ashkon ki jhari ho
Ai kaash! Madine mein mujhe mawt yuu aajaye
Qadmon mein tere sar ho meri ruuh chali ho
Jab leke chalo gharibaan ko Janaza
Kuch khaak Madine ki mere munh pe saji ho
Jis waqt nakeere meri qabr mein aayen
Us waqt mere lab pe saji Naat-e-Nabi ho
Aqa ka ghada hun e jahannam tu bhi sunle
Woh kaise jale jo ke Ghulam-e-Madani ho
Sadqa mere Murshid ka karoon duur balayen
Pura mera Sarkaar har armaan dili ho
Allah ki rehmat se to jannat hi milegi
Ai kaash! Mahille me jagah unke mili ho
Mehfooz sada rakhna Shaha be adbon se
Aur mujhse bhi sarzor kabhi be adbi ho
Attar hamara he sare hashr ai kaash!
Daste Shaha batha se yehi chitthi mili ho
0 comments:
Post a Comment