Ranginiye ghulaab na gulzaar chaahiye
Taiba ke dasht ka mujhe ik khaar chahiye
Duniya na mujhko maal ka anbaar chahiye
Chashm e karam Huzur ki ik baar chahiye
Kaaba ki azmate mujhe tasleem hein magar
Meri jabeen ko kucha e Sarkar chahiye
Ye aarzu e dil he ada yu Namaaz ho
Sajdo ke waaste tera Darbaar chahiye
Yusuf sa maalka bhi kehta zuroor aaj
Bikne ke waaste tera bazaar chahiye
He khuld ki talab na kisi huur se gharaz
Mujhko Huzur aap ka deedaar chahiye
Unke gunahgaar ko to chahiye karam
Unke karam ko to bhi gunahgaar chahiye
Dekhe to sirf aap ko dekhe na ghair ko
Mujhko esi nazar Shah e abraar chahiye
0 comments:
Post a Comment