24 Jan 2014

- Zamin o zaman tumhare liye; makino makan tumhare liye


zamin o zaman tumhare liye; makin o makan tumhare liye
chunin o chunan tumhare liye; baney do jahan tumhare liye

dahan mein zuban tumhare liye; badan mein jan tumhare liye
hum aye yahan tumhare liye; uthen bhi wahan tumhare liye
kalim o naji, masih o safi, khalil o razi, rasul o nabi
atiq o wasi, ghaniyy o ali sana ki zuban tumhare liye


tumhari chamak; tumhari damak; tumhari jhalak tumhari mahak
zamin o falak; simak o samak mein sikka nishan tumhare liye
ye shams o qamar ye sham o sahar ye barg o shajar ye bagh o samar
ye tegh o sipar ye taj o kamar ye hukm rawan tumhare liye
ye fayz diye wo jud kiye ke nam liye zamana jiye
jahan ne liye tumhare diye ye ikramiyan tumhare liye
sahab e karam rawana kiye, ke ab niam zamana piye
jo rakhte the hum wo chak siye, ye satr e badan tumhare liye
ataye arab, jalaye karab fuyuz ajab baghayr talab
ye rahmat e rabb hai kis ke sabab, bi rabb e jahan tumhare liye
na jinn o bashar ke ath pahar malayikah dar pe basta kamar
na jib’ha o sar, ke qalb o jigar, hain sajdah kunan tumhare liye
jinan mein chaman chaman mein saman; saman mein phaban, phaban mein dulhan
sazaye mihan pe ayse minan ye amn o aman tumhare liye
khalil o naji masih o safi sabhi se kahi kahin bhi bani
ye be khabari ke khalq phiri kahan se kahan tumhare liye
ishare se chand chir diya ; chupey huwey khur ko pher liya
gaye huwe din ko asr kiya; ye tab o tawan tumhare liye
saba wo chale ke bagh phale wo phool khile ke din hon bhale
liwa ke tale sana mein khule raza ki zaban tumhare liye

0 comments:

Post a Comment