woh
bi din aaye ga main madine jaaonga
dekha
nahi un ka dar ab tak,
kya
hoga anjaam
lekin
mere dil ki dhadkan deti hai pegam
marne se pehle ik baar, main madine jaonga
marne se pehle ik baar, main madine jaonga
kya gham hai ke jakre hue hain doori ki zanjeer
mil jayegi mujh ko mere khuwaboon ki tabeer
jis din chaheinge sarkar, main madine jaoonga
mujh ko yakeen hai karam kareinge aamina bi ke laal
un ko tou maloom hai yaaro mere dil ka haal
kehte hain yeh dil ke taar, main madine jaoonga
rehmat-e-alam shahe madina nabiyon ke sardar
meri zeest main woh lamhe bi aajayeinge sarkar
main bhi sab se kahoon har baar, main madine jaoonga
josh-e-musarrat main a a kar , kaliyan khilengi dil ki
un ka karam jab hoga ali tou raahon se mushkil ki
gir jaye gi har deewar, main madine jaoonga
0 comments:
Post a Comment