Woh meri manzil bhi, hamsafar bhi
Wo saamne bhi, paas-e-nazar bhi
Wohi mujhe duur se Pukaare, ussi ki parchaae ruuh par bhi
Woh rang mera, woh meri khushbuu
Mein uski mutthi ka ek jugnu, woh mere andarr ki roshni he
Mera to sab kuch mera Nabi he
Kamaal-e-Khalaaq Zaat uss Ki
Bashr Nahi Azmat-e-Bashr hai
Mera Payambar Azeem Tar Hai
Woh Rahmatallil Alameen aur tu saraapa bughz-o-kee
Phir kis tara aaye yaqeen, tu bhi bashar woh bhi bashar
Apne warga kehn waaleya
Tu shar he, woh Khair-ul-bashar
Yaksaan kahaa hein khair-o-shar
He faraq in mein kis qadar
Tu bhi bashar, woh bhi bashar
Tu reengta he khaak per aur Arsh par unka guzar
Ab dil mein khud insaaf kar, tu bhi bashar, woh bhi bashar
Ab tujhe kya karna chahiye
Hat-dharmiyo ko chor kar, zauq-e-takabbur tore kar
keh dono haatho ko jore kar, woh Noor-e-Haqq aur mein bashar
Bashr Nahi Azmat-e-Bashr Hai
Mera Payambar Azeem Tar Hai
0 comments:
Post a Comment