Mere
aqa awo ke muddat huwi hai
Teri raah mein akhiyaan bechate bechate
Teri hasraton mein teri chahatoon mein
Barre din huwe ghar sajate sajate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
Teri raah mein akhiyaan bechate bechate
Teri hasraton mein teri chahatoon mein
Barre din huwe ghar sajate sajate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
Mera
ye hai imaan yeh mera yaqeen hai
Mere mustafa sa na koi haseen hai
Ke rukh unka dekha hai jab se qamar ne
Nikalta hai mu ko chupate chupate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
Mere lab pe mawla na koi sada hai
Faqat is nikamme ki yehi sada hai
Ke meri saans nikle dar-e-Mustafa pe
Gham-e-dil nabi ko sunate sunate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
Ye dil jab say ishq-e-nabi mein para hai
Na din ki khabar hai na shab ka pata hai
Ab to basarat bhi kum hogayi hai
Tere gham mein aansu bahate bahate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
Mere mustafa sa na koi haseen hai
Ke rukh unka dekha hai jab se qamar ne
Nikalta hai mu ko chupate chupate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
Mere lab pe mawla na koi sada hai
Faqat is nikamme ki yehi sada hai
Ke meri saans nikle dar-e-Mustafa pe
Gham-e-dil nabi ko sunate sunate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
Ye dil jab say ishq-e-nabi mein para hai
Na din ki khabar hai na shab ka pata hai
Ab to basarat bhi kum hogayi hai
Tere gham mein aansu bahate bahate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
Qayamat ka manzar bara purr khatar hai
Magar Mustafa ka jo deevana hoga
Wo pul say guzar jayega wajd karte
Naara Nabi ka lagate lagate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
Ye maana ke ik din aani qaza hai
Magar doston tum say ye iltijaa hai
Ke sheher-e-Muhammad ki har ek gali se
Janazah uthana ghumate ghumate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
Na kaabe se matlab na masjid ki chahat
Faqat dil mein hakim tamanna yehi hai
Jo mil jaaye naqsh-e-kaf-e-paaye ahmed
Tou marr jaon sar ko jhukate jhukate
Mere aqa awo ke muddat huwi hai
0 comments:
Post a Comment