Jis
taraf uTh gayee dam mein dam aagya
Uss nigaah i 'inaayat pe laakhon salam
Uss nigaah i 'inaayat pe laakhon salam
Kis ko dekha yeh Musa se pooche ko'ii
Aankhon walon kii himmat pe laakhon salam
Door o nazdeek kay sun-nay waalay woh kaan
Kaan e la'l e karaamat pe laakhon salam
Patli patli gul e quds ki patiyaaN
Un laboN ki nazaakat pe laakhon salam
Jinkay guchchay se lachchay jhaRein noor kay
Un sitaaroN kii nuzhat pe laakhoN salam
Woh dahan jis kii har baat wahi e Khuda
Chasma e 'ilm o hikmat pe laakhon salam
Jiskay paani se shaadaab jaan o jinaan
Us dahan kii tarawaT pe laakhon salam
Jis se khaaray kunwein sheerah-e-jaan banay
Uss zulaal halaawat pe laakhon salam
Voh zubaan jis ko sab kun kii kunji kehein
Uski nafiz hukumut pe laakhon salam
Uski pyaarii fasaahat pe bayhad durood
Uski dilkash balaaghat pe laakhon salam
Uski baaton kii lazzat pe laakhon durood
Uskay khutbay kii haybat pe laakhon salam!
Rîsh e khush mu'tadil marham rîsh e
Haala e maah i nudrat pe laakhon salam
Khat kii gird dahan who dil-aara phaban
Sabza i nahr e rahmat pe laakhon salam
Jis mein nehrein shîr o shakar kii rawaaN
Us galay kii nazaarat pe laakhon salam
Dosh bar dosh hai jinkay shaan e sharaf
Aisay shaanon kii shawkat pe laakhon salam
Hajr e aswad e Ka'aba e jaan o dil
Ya'ni mohr e Nabuwwat pe laakhon salam
Bay-saheem o qaseem o adeel o maseel
Johar e fard e izzat pe laakhon salam
Jis ko baar e do aalam kii parwaa nahin
Aisay baazoo kii quwwat pe laakhon salam
Ka'aba e deen o imaan kay donon sutoon
Sa'idayn e Risaalat pe laakhon salam
HaaTh jis simt uThaa ghanii kardiya
Mawj e bahr e samaaHat pe laakhon salam
Jis kay har khat mein hai mawj e noor e karam
Is kaf e bahr e himmat pe laakhon salam
Noor kay chashmay lehrain, daryaa behein
Ungliyon kii karaamat pe laakhon salam
Eid e mushkil-kushaa'ii kay chamakay hilaal
Naakhunon kii bashaarat pe laakhon salaam
Rafa' e zikr e jalalat pe arfa' durood
Sharh e sadr e sadaarat pe laakhon salam
Dil samajh se waraa' hai magar yoon kahoon:
Ghuncha e raaz e wahdat pe laakhon salam
Kul jahan milk aur jaw kii roTi ghiza
Us shikam kii qana'at pe laakhon salam
Jo ke `azm e shafa'at pe khinchkar bandhii
Uss kamar kii hamaayat pe laakhon salam
Anbiya teh karein zaanoo Inkay huzoor
Zanoo'on kii wajaahat pe laakhon salam
Saaq e asl e qadm, shaakh e nakhl e karam
Shama' e raah e isaabat pe laakhon salam
Khaaii Qur'an ne khaak e guzar kii qasam
Uss kaf e paa kii hurmat pe laakhon salam
Qad e bay-saaya kay saaya-e-marhamat
Zill e mamdood o raafat pe laakhon salam
Taairaan e quds jis kii hain qumriyaan
Uss sahi sarw e qaamat pe laakhon salam
Jis kay aagay sar e sarwaraan khum rahain
Us sar e taaj e rif'at pe laakhon salam
Shabnam-e-baagh e Haqq, ya'ani rukh kaa `arq
Us kii sachchii baraaqat pe laakhon salam
Bheenii bheenii mehak par mehaktii durood
Pyaarii pyaarii nafaasat pe laakhon salam
0 comments:
Post a Comment