Iftaar ka taaruf:
Lafze iftaar ya toh “fitrantun” se bana hai jiska ma’ana aadath, iss ma’ane ke
lihaaz se usse iftaar isliye kahenge ke iftaar ke baad insaan ko uski aadath ke
mutabiq khaane peene aur digar amal karne ki ijazat mil jaati hai jinhe haalate
roza mein nahi karsakhta tha, Ya to
fatratun se bana hai jiske ma’ana hai shaghaaf padhna, suraakh hona iss ma’ane
ke lihaaz se iftaar ko iss liye iftaar kahate hai ke do(2) rozon ke darmiyan
iftaar ke zariya shaghaaf ho jaata hai.
Iftaar karne ka tarikha:
Jab gurube aaftaab ka yakeen hojaye toh
aub iftaar karne mein deir nahi karni chahiye, azaan ka intezaar na kare fauran
koyi cheez kha peele magar behtar hai ke khajur ya chuhare(Sukhe Khajur) ya paani
se iftaar kare ke ye sunnat hai.
Khajur
khakar ya paani peene ke baad ye dua padhe, “Allaahumma
Innee laka sumtu wa bika Aaamantu wa alaika tawakkaltu wa alaa rizqika aftartu”
Tarjuma:
Aye Allaah azzawajal maine tere liye roza rakha aur tujh par imaan laaya aur
tujhi par bharosa kiya aur tere diye huye rizq se roza iftaar kiya aur azaan
shuru ho jaaye toh khana peena bilkul maukuf karde aur azaan ka jawaab dein
Ziyada
tar loog iftaar ki dua khaane se pehle padhle the hai, Ye galat hai kyun ke
duwa iftaar ke baad yaani kuch khaane ya paani peene ke baad padhe. Iss dua ka turjuma ziyaada gaur se padhe toh
maalum hojaaye ke kab dua padhna hai. Aakhiri jumlon par gaur kare “Aur tere
diye huye rizq se roza iftaar kiya” yaani iftaar kiya. Lafz kiya maazi(past
tense) par istemaal hota hai, Iftaar kiya yaani iftaar khaya.
Iftaar jaldi karne ki fazilat:
Pyare
aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ka farmaan ka maffum ye hai:
1) Mere
bandon mein mujhe jiyada pyara woh hai jo iftaar mein jaldi kare.
2) Ye
deen hamesha gaalib rahega jab tak log iftaar mein jaldi karte rahenge ye
yahood aur nasaara takhir karte the.
3) Jab
tum mein koyi roza iftaar kare toh kajur aur chuhare se iftaar kare woh barkat
hai aur agar na mile toh paani se ke woh paak karene waala hai.
4) Hazrate
Anas Radiallaahu ta’ala anhu ke riwaayat hai ke Pyare aaqa Swallallaahu alaihi
wa sallam namaaz se pehle khajur se roza iftaar farmate, tar khajur na hote toh
chand khushk khajur(chuhare) se agar ye bhi na hote toh chand chullu bhar paani
se.
Rozedaar ko iftaar karaane ki fazilat:
1) Hazrate
Sayyidina Salmaan Farsi Radiallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke sarkare
madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne farmaaya jisne halaal khane ya paani se
kisi musalmaan ko roza iftaar karaye toh farishte maahe ramzaan ke aukat mein
uske liye istagfaar karte hai aur jibrayeel alaihissalam shab-e-Qadar mein uske
liye istagfar karte hai.
2) Ek
aur riwaayat mein aata hai ke jo halaal kamaayi se ramzaan mein roza iftaar
karaye. Ramzaan ki tamaam raaton mein farishte uss par durood bhejte hai aur Shab-e-Qadar
mein Jibrayeel Alaihissalam uss se musaafa karte hai.
3) Ek
aur riwaayat mein hai jo rozedaar ko koyi paani pilayega Allaah azzawajal usse
mere Houz-e-Kausar se pilaayega ke jannat mein jaane tak pyaasa na hoga.
Hadees: Hazrate Anas Radiyallaahu
ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur-e-Aqdas Swallallaahu ta’ala alaihi wa
sallam ne farmaaya “Sahari khawo ke sahari khaane mein barkat hai. (BUKHAARI aur MUSLIM)
Hadees: Hazrat Abdullah ibne Umar
Radiyallaahu ta’ala anhuma se riwaayat hai ke huzure akram Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam ne farmaaya “Allah aur uske
farishte sahari khaane waalon par durood bhejte hai. (TIBRANI)
Hadees: Hazrat Abu Saeed Khudri Radiyallaahu
ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzoor Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam ne farmaaya sahari kul ki kul
barkat hai usse na chhodhna agarche ek ghoont paani bhi peele kyun ki sahari
khaane waalon par Allaah aur uske farishte durood bhejte hai. (MUSNAD IMAAM AHMED
BIN MAMBAL)
Hadees: Hazrate
Sahal Bin Sa’aad Radiyallaahu Ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur-e-Aqdas
Swallallaahu ta’ala alaihi wa sallam ne farmaaya hamesha loog khair ke saath raheinge
jab tak iftaar mein jaldi karenge. (BUKHAARI, MUSLIM SHARIF)
Hadees: Hazrate
Abu Hurairah Radiyallaahu Ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam ne farmaaya ke Allaah Ta’ala ne
farmaaya mere bandhon mein mujhe ziyaada pyaara woh hai jo iftaar mein jaldi
karta hai. (TIRMIZI)
Hadees: Hazrate
Salman bin Aamir Radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzoor-e-Aqdas Swallallaahu
ta’ala alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya jab tumme se koyi roza iftaar kare
toh khajoor ya chhohare se iftaar kare ke woh barkat hai agar woh na mile toh
paani se ke woh paak karne waala hai. (ABU DAWOOD, TIRMIZI SHARIF)
Masla- Sahari
khaana aur usme taakhir karna mustahab hai magar itni taakhir makruh hai ke
subho ka shak ho jaaye.
Masla- Iftaar
mein jaldi karna mustahab hai magar iftaar uss waqt kare ke gurub ka gaalib
gumaan ho, jab tak gumaan gaalib na ho iftaar na kare agarche mu-azzin ne azaan
keh di hai aur baadal ke dino mein iftaar mein jaldi na kare.
Masla- Baaz loog
fajr ki azaan tak sahari khaate rehte hai unka roza nahin hota
Masla- Subho saadiq
tak sahari kha sakte hai magar ehtiyaatan 5 minute pehle khaana pina mauqoof
kar dena behtar hai.
Masla- Kisi
bhi roze ke liye sahari shart nahi ye jo awaam mein mashoor hai ke nafli
roze ke liye sahari zaruri hai iski koi asl nahi balke bagair sahari bhi
ye roze ho jaayenge.
0 comments:
Post a Comment