Sahari ka taaruf:
Sahar ka maana hai Pushidgi, Jadu, Phepade. inko iss liye sahar kehetein hai ke
woh chupe hote hai. Subho Saadiq ko
bhi Sahar kehene ki yahi wajeh hai ke uss waqt ki roshani raath ke taariki me
chupi hoti hai.
Sahar ke waqt ki Ahmiyat: Quran
me Allaah azzawajal irshaad farmaata hai “Aur pichle peher maafi
magne waale”, Baaz mufassareen ne farmaaya iss aayat se
Namaz-e-Tahajjud padhne waale muraad hai aur baaz ke nazdiq usse woh loog muraad
hai jo subho uth kar istagfaar padhte.
Sahar
ke waqt Toba aur istagfaar karna Allaah azzawajal ke barguzida bandon ki
adat-e-karima hai.
Toba aur dua ki qubuliyat ke waqt: Pyare
Aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “Allaah azzawajal raath ke akhiri tihayi hisse mein aasmaane duniya
ki taraf mutawajjeh hota hai aur farmaata hai
“Hai koyi magne waala jisko mai ataa karon, hai koyi dua karne waala
jiski dua qubul karon, hai koyi bakshish talab karne waala jise mai bakshdon ,
Hatta ke subho hojaati hai.
Sahari ka waqt kab hota hai:
Hazrat-e-Allaama Mullaah Ali Qari Alai rahma tu wa ridwaan farmaate hai “Sahari
ka waqt aadhi raath se shuru hojaata hai.”
Sahari me taakhir karna Afzal hai:
Pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ka farmaan ka maffum hai ke “ 3
cheezon ko Allaah azzawajal meheboob rakhta hai,
1:
Iftaar mein jaldi karna
2:
Sahari mein taakhir karna
3:
Namaaz (Qiyaam) mein haath mein haath rakhna
Sahari
mein taakhir ke muraad raath ka chata(6) hissa hai, raath ka 6 hissa maalum
karne ka tarikha ye hai ke, Gurube aaftaab se lekar subho saadiq tak raath kehelati hai, maslan
kisi din 7 baje shaam ko suraj gurub huwa aur phir 4 baje subho saadiq huyi, iss
tarah gurube aaftaab se lekar subho saadiq tak 9 ghante ka waqfa
guzra woh raath kehelati hai, aub raath ke in 9 ghanton ke baraabar 6
hisse kardiye jaaye, toh har hissa deyed(1.5 hours) huwa. Aub raath ke aakhiri
deyed ghanton ke dauran jab bhi sahari kare, Insha-Allaah azzawajal taakhir ka
sawaab miljayega, Magar sahari mein itni taakhir bhi na kare ke subho saadiq ka
shak hone lage.
Sahari karna sunnat hai:
Pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ham gulamon ki khaatir sahari farmaya
karte the taake muhabbat waale gulam apne mohsine Aaqa Swallallaahu alaihi wa
sallam ki sunnat samajh kar sahari karliya kare youn unhe din ke waqt roze mein quwwat ke saath saath sunnat par
amal karne ka sawaab bhi milega.
Baaz
islaami bhaiyoun ko youn dekha gaya ke kabhi sahari karne se rehe jaate hai toh
fakhriya batein banaate hai aur youn kehete sunaayi dete hai “Hamne toh sahari
ke bagair hi roza rakhliya hai”, Pyare islami bhaiyoun sahari ke bagair roza
rakhna koyi kamaal toh nahi jiss par fakhr kiya jaaraha hai balke sahari ki
sunnat chutne par malaal hona chahiye afsoos karna chahiye ke Pyare aaqa Swallallaahu
alaihi wa sallam ki ek azeem sunnat chutgayi.
Sarkar-e-madina
Swallallaahu alaihi wa sallam ka farmaan ka maffum:
1) Hamaare
aur ahle kitaab ke darmiyan sahari karne ka faraq hai.
2) Allaah
azzawajal aur uske farishte sahari karne waalon par rahemat naazil farmaate hai.
3) Teen(3)
Aadmi jitna bhi khaale unse koyi hisaab na hoga bashart ke khana halaal ho;
1. Rozedasr
ki iftaar ke waqt,
2. Sahari
khane wasle,
3. Mujahid
jo Allaah azzawajal ke raah mein sarhade islaam ki hifaazat kare.
4) Sahari
khaya karon kyun ke sahari khaane mein har luqme ke badle 60 baras ka sawaab
milta hai
Sahari ka tofa:
1. Sahari
karte waqt kasrat se Ya waasi a’l magfirah(Aye
usat ke saath bakshne waale) ka vird rakhkho iske padhne waale ke saare gunah
maaf hojayenge.
2. Sahari
ke waqt 7 baar ye duwa padle toh usse Allaah azzawajal jitne sitaare hai, unn
ek ek sitaaron ke badle ek ek hazaar(1000) nekiyan deta hai, utne hi gunah mita
taa hai aur usi qadar uske darjaat buland farmaata hai.
Laa ilaaha illallaahul hayyul qaiyumul
kayimon Ala kulli nafsim bimaa kasabat
Kya roze ke liye sahari shart hai:
Kisi ko ye galat fahemi na hojaaye ke sahari roze ki liye shart hai, aisa nahi
hai, sahari ke bagair bhi roza ho sakhta hai. Magar jaan bhujh kar sahari na
karna ye munasib nahi hai ke ye ek azeem sunnat se meherum hai aur ye bhi yaad
rakhe ke sahari mein khoob dat kar khaane ki koyi zaruri nahi chand khajure aur
paani hi agar ye ba sunnate sahari istemaal karle jab bhi kaafi hai balke khajur
aur paani se toh sahari karna sunnat hai.
Azsane fajr namaaz ke liye hai, Na ke roza
band karne ke liye: Agar koyi
shaks azaan dete waqt khaye piye toh uska roza nahi huwa kyun ke azaan subho saadiq
mein diyi jaati hai aur sahari subho saadiq se pehle pehle karlena chahiye.
Baaz
loog azaan tak khaate peete hai, Ye galat hai aur unka roza hi nahi huwa, kyun
ke azaan subho saadiq ko hoti hai aur hame roza subho saadiq se pehle pehle
khatam karna chahiye aur koyi subho saadiq ko khaye peeye toh uska roza hi nahi
huwa.
0 comments:
Post a Comment