22 Jun 2014

- Taraweeh

1) TARAAWEEH MARD WA AURAT SABKE LIYE SUNNAT-E-MUAKKIDA HAI ISKA TARK jaayez Nahin.
2) jamhur ka mazhab ye hai k Taraaweeh bees (20) rakatein hain aur yehi ahaadees se sAabit.

3) Taraaweeh ka waqt isha ke farz padhne ke baad se subha sadiq nikalne tak hai.

4) Taraaweeh Mein jamaat sunnat-e- kiffaya hai k agar masjid ke sab log chhodh denge to gunehgar honge aur agar Kisi ek (1) ne ghar Mein tanha padhli to gunehgar Nahin.

5) Taraaweeh masjid Mein ba jamaat Padhna Afzal Hai Agar Ghar Mein JAMAAT SE Padhi to Jamaat ke tark ka gunaah Na hua magar Woh sawaab na milenga jo masjid Mein padhne ka tha.

6) Agar fout ho jaayen to inki qaza Nahin aur agar qaza tanha padhli to Taraaweeh Nahin balki nafl mustahab hai.

7) Taraaweeh Mein ek (1) baar quran-e-majid khatm karna sunnat-e- muakkida hai. Logon ki susti ki wajah se khatm KO tark Na kare.

8) Agar muqtadiyon par giraani ho to tashahaud ke baad "Arbi Dua" par iktefa kare.

9) Agar ek (1) khatm karna ho to behtar hai k sattaiswi (27) shab Mein khatm ho phir agar Iss Raat Mein ya iske pehle khatm ho to Taraaweeh aakhir ramzaAn tak Baraabar padhte rahe k sunnat-e- muakkida hai.

10) Afzal ye hai k ek imaam ke peeche Taraaweeh padhe aur do (2) ke peeche padhna chaahe to behtar hai k poore Tarwihah par imaam badle maslan aanth (8) ek (1) ke peeche aur baarah (12) doosre ke.

11) Ramzan sharif Mein vittr jamaat ke saath padhna afzal hai khwah Usi imaam ke peeche jis ke peeche isha WA Taraaweeh padhi hai ya doosre ke peeche.

12) ye jayeez hai k ek (1) shakhs isha WA vittr padhae doosra Taraaweeh.

13) Agar isha jamat se padhe aur Taraaweeh tanha to vittr ki jamaat Mein sharik ho sakta hai.

14) Agar isha tanha padhli agarche Taraaweeh bajamaat padhi to vittr tanha padhe.

15) Muqtadi KO ye jaayez Nahin ke baitha rahe jab imaam rukoo karne KO ho to khadha ho jaaye k ye munafiqeen se mushabahat hai, Allah T'aala irshaad farmata hai "Munafiq jab namaaz KO khade hote hain to thake ji se". (Surre nisa aayat no 142).

16) Taraaweeh ramzan ki har shab Mein bees(20) rakat sunnat-e-muakkida hai baaz log ye karte hai k che (6) din ya das (10) Din Mein poora quran sharif sun kar poore ramzan Taraaweeh Nahin padhte woh gunehgar aur fasiq hai. Woh ramzan-ul-mubaraq ki baqiya (Baaqi) raaton Mein bhi Taraaweeh padhe.

Luqma dene ke masail:

1) Imaam agar bhool jaaye to luqma Dena jaayez hai aur agar imaam ne luqma le liya to USS par sAjda- e- sahu Nahin.

2) foran luqma Dena makrooh hai Thoda tawaqquf (theherna) chaahiye k shaayed imaam khud nikaal le.

3) imaam KO makrooh hai k muqtadiyon KO luqma dene par majboor kare balki Kisi doosri sureh ki taraf muntaqil ho jaaye ya doosri aayat shuru karde bashart ye k Uska Wasl mufside namaaz Na ho.

4) qari (imaam) KO pareshaan karne ki Niyyat se luqma Dena haraam hai. (Fatwae razwiya)

0 comments:

Post a Comment