Assalatu was salamu alaika ya
Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam
Roze rakhne ki fazilath:
· Hazrat Abu Huraira Raradiallaahu ta’ala
anhu se riwaayat hai ke rasool-e-aazam Swallallaahu
alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “qasam hai uss zaat ki jis
ke qabzay-e-qudrat mein meri jaan hai, rozedaar ke muh ki boo allaah ki nazdeek
mushk se ziyaada behtar hai”.
· Hazrat Abu Huraira Radiallaahu ta’ala
anhu se riwaayat hai ke rasool-e-aazam Swallallaahu
alaihi wa sallam
ne irshaad farmaaya “Allaah ta’ala irshaad farmaata hai “Roze mere liye hai aur
mai hi unka badla doonga aur dusri nekiyoun ka ajar 10 gunah kardunga”.
· Hazrat Ka’ab Radiallaahu ta’ala anhu
farmaate hai ke “Jo shaks ramzaan sharif ke roze poore kare aur uski niyyat ye
bhi ho ke ramzaan ke baad bhi gunahoon se bachta rahoonga wo bagair hisaab
kitaab aur bagair sawaal jawaab ke jannat me daakhil hoga
· Nabiy-e-kareem Swallallaahu
alaihi wa sallam
ne irshaad farmaaya agar allaah ta’ala ke bande ramzaan ki fazilat jaan lein toh
meri ummat tamaam saal roze se rehne ki khwaahish mand hoti.
· Hazrat-e-Abu Sa’eed Khudri Radiallaahu
ta’ala anhu se riwaayat hai woh kehte hai ke Rasoolallah Swallallaahu
alaihi wa sallam
ne irshaad farmaya “Jo shaks bhi ek din allaah azzawajal ki raah mein roza
rakhega allaah ta’ala jahannam ki aag ko uske chehre se sattar saal ki musaafat
tak door rakhega.
· Hazrat-e-Abu Huraira Radiallaahu ta’ala
Anhu se riwaayat hai ke Rasoolallah Swallallaahu
alaihi wa sallam
ne irshad farmaaya “Jihad karo maal ghanimat pawoge aur roza rakho sehatmand ho
jawoge aur safar karo maaldar ho jaawoge.
· Hazrat Abu Huraira Radiallaahu ta’ala Anhu
se riwaayat hai ke rasool-e-azam Swallallaahu
alaihi wa sallam
ne irshaad farmaaya “Rozedaar ke liye 2 khushiyaan hai, 1) Jab woh iftaar karta
hai toh khush hota hai, 2) Jab woh apne rab se mulaqaat karta hai toh khush
hota hai.
· Nabi-e-Kareem Swallallaahu
alaihi wa sallam
irshaad farmaaya ke jisne teen cheezon ki hifaazat ki woh yaqeenan allaah azzawjal
ka dost hai aur jo in 3nou ko zaaya kar deta hai yaqeen jaano ke woh allaah
azzawajal ka dushman hai woh teen(3) cheezain ye hai 1) Roza, 2) Namaaz, 3) Gusl-e-janaabat.
0 comments:
Post a Comment