Maahe Ramzaan ka Taaruf:
1. Maahe Ramzaan Allaah azzawajal ka Naam Hai: Maahe
Ramzaan, Rehmaanazzawajal ki tarha Allaah azzawajal ka ek naam hai.
2. Maahe Ramzaan Allaah azzawajal ka Mahina Hai: Iss
mahine me din raath Allaahazzawajal ki ibaadath hoti hai lihaza iss maah ko Share ramzaan yaani Allaah azzawajal ka mahina kaha jata
hai. Jaisa masjid-o-kaba ko Allaahazzawajal
ka ghar kehete hai ke waha Allaahazzawajal ke hi kaam hote hai aise hi ramzaan Allaah
azzawajal ka mahina hai ke iss mahine me
Allaah azzawajal ke hi kaam hote hai. roza, taraaweeh wagaira toh hai hi Allaah
azzawajal ke magar bahalate roza jo jayiz naukari, jayiz tijarat wagaira ki jaati
hai woh bhi allaah azzawajal ke kaam qarar paate hai isiliye iss maah ka naam
ramzaan yaani Allaah azzawajal ka mahina hai.
3. Maahe Ramzaan muasame bahaar hai:
Maahe ramzaan, ramdzaa’un se mushtaq hai, ramzaa’a muasame kharif ki baarish ko
kehete hai jise zameen dhul jaati hai aur Rabi ki fasl khoob hoti hai chunke ye
mahine bhi dil ke gard-o-gubaar dhodeta hai aur iss se amal ki kheti hari bhari
reheti hai, issi liye usse ramzaan kehete hai.
Maahe Ramzaan ki Ahmiyat:
1. Quran-e-paak me sirf maahe ramzaan sharif
ka hi naam liyagaya aur iske fazaayil bayaan huye kisi dusre mahine ka na
saratan naam hai na aise fazayil.
2.
Maahe ramzaan ki ek khususiyat ye bhi
hai ke Allaah azzawajal ne iss mahine mein Quran-e-Paak naazil farmaya,
Chunanche Allaah azzawajal Quran mein irshaad farmata hai; Tarjuma-e-Kanzul-Imaan:
Ramzaan ka mahina, Jisme Quran utaara, Logon ke liye hidaayat aur rehenumayi
aur faisle ki roshan batein, Toh tumme jo koyi ye mahine paaye zarur uske Roze
rakhe aur jo bimaar ya safar me ho toh utne Roze aur dino me, Allaah azzawajal
tumpar Aasaani chahata hai aur tum par dushwari nahi chahata aur issliye ke tum
ginti poori karo aur Allaah ki badaayi bolo iss par ke usne tumhe hidaayat
ki aur kahe tum haq guzaar ho.
3.
Her mahine mein khaas tarikhe aur taarikhiyoun
mein bhi khaas waqt mein ibaadath hoti hai maslan Bakraeid ke chand maqsoos taarikhiyoun
me Haj, Muharram ki dasvi taarikh afzal magar maahe ramzaan me har din, Har raath
ibaadath hoti hai, Roza ibaadath, Iftaar ibadat, taraaweeh ibadat, soona
(sleep) ibaadath, sehari khaana ibaadath.
4.
Maahe Ramzaan ek bhatti hai jaisa ke
bhatti gande loohe ko saaf aur saaf lohe ko machine ka purzah bana kar qeemti
kardeti hai aur soone(gold) ko zewar banakar istemaal ke layak kardeti hai Aise
hi maahe ramzaan gunehgaaron ko paak karta hai aur nekokaaron ke darje badaata
hai.
5.
Maahe ramzaan mein Iblees qaid kardiyaa
jaata hai aur doozakh ke darwaaza bandh ho jaate hai. Jannat aarasta ki jaati
hai. Iske darwaaze khooldiye jaate hai. Isiliye inn dino mein nekiyoun ki ziyadati
hoti hai aur gunahoon ki kami hoti hai jo loog gunah karte hai woh nafse ammarah
ya apne saati shaitan (Kareen) kehne se karte hai.
6.
Maahe ramzaan ke khaane peene ka hisaab
nahi.
7.
Huzur pur noor Swallallaahu
alaihi wa sallam
maahe ramzaan mein har qaidi ko choorde the aur har sayil ko ataa farmaade the.
8.
Ramzaan me 5 hurf hai:
o Ra:
Rehemate Ilahi
o Meem:
Muhabbate Ilahi
o Dwaad:
Zamane Ilahi
o Aleef: Amane Ilahi
o Noon: Noore Ilahi
Maahe Ramzaan ki Fazilat:
a) Maahe
Ramzaan me ek baar Darood sharif padhna, gair maahe ramzaan me 1 laakh baar
Darood sharif padhne ke baraabar hai.
b) Maahe
ramzaan me ek bar SubhaanAllaah padhna, gair maahe ramzaan me 1 laakh baar
SubhaanAllaah padhne ke baraabar hai.
c) Ek
riwaayat ke mutaabik arsh uthane waale farishte rozedaar ki duwa par aameen kehete
hai.
d) Aur
ek riwaayat ke mutaabik maahe ramzaan ke rozedaaron ke liye dariya ki machliyan
iftaar tak dua-e-magfirat karti reheti hai.
e) Jab
maahe ramzaan ki Pehli shab aati hai toh aasmaano aur Jannat ke darwaze khool
diye jaate hai aur aakhiri raath tak bandh nahi hote.
f)
Maahe ramzaan me nafl ka sawaab farz
ke baraabar aur farz ka sawaab 70 gunah badaa diya jaata hai.
g)
Jo koyi banda iss maahe mubaarak ki
kisi bhi raath mein namaaz padhta hai toh Allaah azzawajal uske har sajde ke
badle mein uske liye 1700 nekiyan likhta hai aur uske liye jannath mein surkh
yaqut ka ghar bana tha hai. Jiss mein 70,000 darwaaze honge aur har darwaaze ke
dono pat sone ke bane honge jinn me yaqute surkh jade honge.
h)
Jo koyi maahe ramzaan ka pehla roza
rakhta hai toh Allaah azzawajal mahine ke aakhiri din tak uske gunah maaf
farmadeta hai aur dusre ramzaan tak uske liye kaffara hojaata hai aur
i)
Har woh din jisme ye roza rakhega uss
har roze ke badle mein usse 1000 sone ke darwaazon waala mahal jannat mein ataa
hoga aur uske liye subho se shaam tak 70,000 farishte dua-e-magfirath karte
rahenge.
j)
Raath aur din mein jab bhi woh sajda
karega uss har sajde ke badle usse jannat mein ek ek aisa darakht ataa kiya
jayega ke har uske neeche ek ghud sawaar 100 baras tak bhi chale phir bhi uss
ek darakht se dusre sire tak na pahunch sake.
k)
Baaz ulama farmate hai ke jo maahe ramzaan
me marjaaye uss se sawaalaat-e-Qabr nahi hote.
l)
Qiyaamat mein maahe ramzaan aur Quran
rozedaaron ki shafa’at karenge ke maahe ramzaan toh kahega ke Maula azzawajal maine
isko din mein khaana peene se rooka tha aur quran arz karega ke Ya Rab
azzawajal maine usko raath mein tilaawate-wa-taraaweeh ke zariye soone se rooka.
m)
Jab maahe ramzaan ki Pehli raath hoti
hai toh Allaah azzawajal apne makhluq ke taraf nazar farmaata hai aur jab
Allaah azzawajal kisi bande ke taraf
nazar farmaye toh usse kabi azaab nadega.
n)
Har rooz 10 laakh gunehgaaron ko jahannam
se aazaad farmaata hai 29 raath hoti hai toh mahine bhar mein jitne aazaad kiye
unke majmu’aa ke baraabar uss ek raath mein aazaad karta hai.
o)
Phir jab Eid-ul-fitr ki raath aati hai
malayika khushi karte hai aur Allaah apne noor ki khaas tajalli farmaata hai
aur farishte se farmaata hai aye giroh malayika, unko poora poora ajr diya jaaye
Allaah farmaata hai main tumhe gawah karta houn ke maine unn sab ko bakshdiya.
Allaah ki Rahmat se Toh Jannat hi Milegi
Aye Kaash Jagha Unke Muhalle Me Mili Hoo
Sarkaare Madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne maahe
sha’baan ke aakhiri din bayan farmaya (bayan ka maffum):
1.
Aye loogon tumhaare paas azmatwaala
barkatwaala mahina aaya woh mahina jis
mein ek raath aisi bhi hai jo 1000 mahino se behtar hai.
2.
Iss maahe mubaarak ke roze Allaah
azzawajal ne farz kiye aur iss ki raath mein qiyaam sunnat hai.
3.
Jo iss mein neki ka kaam kare toh aisa
hai jaisa aur kisi mahine mein farz adaa kiye, aur iss mein jis ne farz adaa
kiye toh aisa hai jaisa aur dino mein 70 farz adaa kiye.
4.
Ye mahina sabar ka hai aur sabar ka
sawaab Jannat hai.
5.
Ye mahina mu’asath(gamkhwari aur
bhalayi) ka hai aur iss mahine mein momineeen ka rizq badhaya jaata hai .
6.
Jo iss mein rozadaron ko iftaar
karaaye(Ek ghunt dhood ya paani ya ek khajur se iftaar karaye) uss ke gunahon
ke liye magfirath hai aur uss ki gardan aag se aazaad kardi jayegi aur iss
iftaar karane waale ko waisahi sawaab milega jaisa roze rakhne waale ko milega.
Bagair iske ke uske ajar mein kuch kam ho.
7.
Jisne Rozedaaron ko peit bhar kar khilaaye
usko Allaah azzawajal mere Hauz (Hauz-e-Kausar) se pilaayega ke kabhi piyaasa
na hoga yahan tak ke woh jannat mein daakhil hojaaye.
8.
Ye woh mahina hai iska Awwal(Ibtedaayi
10din) Rahmat hai aur iska usat (Darmiyaani 10din) Magfirat hai aur aakhiri(aakhiri
10din) Jahannam se aazaadi hai.
9. Jo Apne Gulaam par iss mahine mein
takhfeef kare yaani kaam kamle Allaah azzawajal usse baksh dega aur jahannam se
aazaad farmadega.
Hadees: Hazrate
Abu Hurairah radiyallaahu ta’ala anhu farmaate hai ke Huzur Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam farmate hai “Jab ramzaan aata hai,
aasmaan ke darwaaze khool diye jaate hai.” Ek riwaayat mein hai ke “Jannat ke
darwaaze khool diye jaate hai.” Ek riwaayat mein hai ke “Rahmat ke darwaaze khool
diye jaate hai.” (BUKHARI aur MUSLIM SHARIF)
Hadees: Hazrate
Abu Hurairah radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur–e–Aqdas Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam ne farmaaya ke “Ramzaan aaya ye
barkat ka mahina hai Allaah ta’ala iske roze tumpar farz kiye, Iss me aasmaan ke
darwaaze khool diye jaate hai aur doozakh ke darwaaze bandh kar diye jaate hai
aur sarkash shaitaanon ke tauqe daal diye jaate hai. (NASAI SHARIF)
Hadees: Hazrate
Sahal ibne Saad radiyallaahu ta’ala anhu se marwi hai ke Rasoolullah Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam farmate hai “Jannat mein 8 darwaaze
hai, unme ek darwaaze ka naam RAIYYAAN hai uss darwaaze se wahi jaayenge jo
roze rakhte hai. (BUKHARI)
Hadees: Hazrate
Abu Hurairah radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam ne farmaaya “Jo Imaan ki wajah
se aur sawaab ke liye ramzaan ka rozah rakhega uske gunaah bakhsh diye jaayenge
aur jo imaan aur sawaab ki niyyat se ramzaan ki raaton me qayaam karega (Nawaafil
padhega) uske agle gunaah maaf kar diye jaayenge. (BUKHARI,
MUSLIM SHARIF)
Hadees: Hazrate
Abu Hurairah radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur-E-Aqdas Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam irshaad farmate hai agar kisi ne
ek din nafl roza rakha aur zameen bhar usse soona diya jaaye jab bhi uska
sawaab poora na hoga. Uska sawaab toh qayaamat hi ke din milenge. (TIBRANI)
Hadees: Hazrate
Abu Hurairah radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Rasool-E-Akram Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam ne farmaaya “Har cheez ke liye
zakaat hai aur badan ki zakaat roza hai aur roza aadha sabr hai. (IBNE MAAJAH)
Hadees: Hazrate
Abu Masood Gaffari radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur-E-Aqdas Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam ne irshad farmaaya “Agar bandon
ko maalum hota ke ramzaan kya cheez hai toh meri ummat tamanna karti ke poora
saal ramzaan hi ho. (IBNE KHUZAIMA)
Hadees: Hazrate
Salmaan Farsi radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur-E-Aqdas Swallallaahu ta’ala
alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “Ramzaan ki raat
mein Qayaam(namaaz padhna) sunnat hai, jo isme neki ka koyi kaam kare toh aisa
hai jaise aur kisi mahine mein farz adaa kiya aur isme jisne farz adaa kiya toh
aisa hai jaise aur dino mein 70 farz adaa kiye. (BAIHAQI)
0 comments:
Post a Comment