Assalatu was salamu alaika ya
Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam
Maahe Ramzaan ko sirf Ramzaan na kahe:
Ulama-e-Ahle
Sunnath farmathe hai ke Maahe Ramzaan ko sirf Ramzaan na kahe kyun ke Ramzaan
Allaah azzawajal ka Ek naam hai. Aur Baaz loog youn kahete hai ke Ramzaan aaraha
hai, Ramzaan aaya hai…iss tarah na kahe balke youn kahe Maahe Ramzaan aaraha
hai, Maahe Ramzaan aaya hai.
Masjid me khana, peena aur soona
manaa hai:
Mere pyare Aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ke pyare dewano,
Masjid me khana peena ya soona mana hai aur yahan tak bhi bataya gaya hai ke
gunah-e-azeem hai, magar aaj hum ye dekhte hai ke Maahe Ramzaan me iftiyaar
karne keliye khaate hai ya paani peete hai, toh aub kya kare ?
Mere pyare Aaqa Swallallaahu alaihi wa
sallam
ke pyare dewano, iss se bachne keliye behtareen tarikha ye hai ke Ehtekaaf ki
niyyath karle, jab hum Ehtekaaf ki niyyath karlenge toh zarurath padhne par kha
bhi sakhte hai ya paani pee bhi sakhte hai ya soo(sleep) sakhte hai,
aur pyare Aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ka farmaan ka
maffum hai ke "Jo banda masjid me daakhil hokar Ehtekaaf ki niyyath karega
uske naamaye aamaal me Allaah(azzawajal) har saans ke badle me 10 nekiyan ataa
farmayega,10 gunah maaf farmayega aur Jannat me darjaath buland farmayega.”
Ehtekaaf ki niyyath:
“ Nawayatu sunnatal Ehtekaaf”
Roze
ke haalath me ye kaam kar sakhte hai
Roze ke haalath me:
1) Katting kara sakhte hai,
1) Katting kara sakhte hai,
2) Munche pasth(chote)
taraash sakhte hai,
3) Zere naaf ke
niche ke baalon ko nikaal sakhte hai,
4) Naakhoon taraash
sakhte hai,
5) Surma lagaa
sakhte hai,
6) Itar lagaa
sakhte hai,
7) Miswaak kar
sakhte hai,
8) Gusl kar sakhte
hai,
Note: Kulli karte waqt garara na kare kyun ki paani halak ke andar jane ka andesha hai aur paani halak ke neeche chalagaya toh hamaara roza toot
jaata hai aur wahi wuzu me bhi hai yaani roze ke haalath me wuzu ya gusl karte
waqt garara na kare.
Jaisa ke aaj mushur
hai ke roze ke haalath me katting nahi kara sakhte hai ya karana ho toh 12 baje
ke andar kara na hai, aisi koyi baath nahi hai roze ke haalath me upar bataye gaye
kaam kar sakhte hai.
0 comments:
Post a Comment