· Sarkar-e-madina Swallallaahu
alaihi wa sallam
irshaad farmaate hai ke “Jisne maahe ramzaan ka ek din ka roza bagair rukhsat-o-bagair
marz iftaar kiya (na rakha) toh zamaane bhar ka roza bhi uski qaza nahi ho
sakhta agarche baad mein bhi rakh le. (SAHI BUKHARI)
· Sarkar-e-madina Swallallaahu
alaihi wa sallam
ka farmaan ka maffum hai “Jisne maahe ramzaan ko paaya aur uske roze na rakhe
wo shaks shaqi (badbakht) hai.
·
Sarkar-e-madina Swallallaahu
alaihi wa sallam
ka farmaan ka maffum hai “Uss shakhs ki naak mitti mein miljaaye jis par maahe
ramzaan ka dakhil huwa phir uski maghfirat hone se qabl guzar gaya”.
· Ek martaba pyare aaqa Swallallaahu
alaihi wa sallam
khutba dene ke liye mimbar sharif par tashrif lejaarahethe, toh jab pehli seedi
par khadam rakhe toh ameen kaha, jab dusri seedi par
khadam rakhe toh aameen kaha, jab teesri seedi par khadam rakhe toh aameen
kaha aur jab khutba khatam hogaya toh, sahaba ikraam pyare aaqa Swallallaahu
alaihi wa sallam
se arz kare, ya Rasoolallah Swallallaahu
alaihi wa sallam
jab aap Swallallaahu alaihi wa
sallam mimbar
sharif par tashrif lejaarahe toh 3 martaba aameen kaha toh woh kehne
ki wajah kya hai, toh pyare aaqa Swallallaahu
alaihi wa sallam
farmaate hai.
Jab mai pehli
seedi par khadam rakhana chaha toh Jibrayeel Alaissalaam aakar
ye baddua kiye, ya Rasoolallahu Swallallaahu
alaihi wa sallam woh shaks halaakh
hojaaye jo maahe ramzaan ka roza na rakhta ho, maine aameen kaha,
Jab
dusri seedi par khadam rakhana chaaha toh Jibrayeel Alaissalato wassalam
arz kiye ya Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa
sallam
woh shaks bhi halaakh hojaaye jo maa baap ka nafarmaan hai maine aameen
kaha.
Jab teesri seedi
par khadam rakhana chaha toh Jibrayeel Alaissalato tasleem ne arz kiya ya Rasoolallah
Swallallaahu alaihi wa sallam woh shaks bhi halaakh hojaaye jo aap Swallallaahu
alaihi wa sallam ka
naam sunkar, aap Swallallaahu alaihi wa sallam par durood na bheje maine aameen
kaha.
Mere pyare aaqa
Swallallaahu alaihi wa sallam ke pyare deewaano zara sooche jo maahe
ramzaan ke roze na rakhe uskeliye koun baddua kar rahe hai Jibrayeel
Alaissalaam jo fariston ke sardaar hai aur ameen koun kehe rahe hai, pyare aaqa
Swallallaahu alaihi wa sallam jo nabiyoun ke sardaar hai,
Jab fariston
ke sardaar baddua kare aur nabiyoun ke sardaar ameen kahe kya uss baddua ko
rabbe qadeer qubul nahi farmayega, zarur qubul farmaayega.
Toh yanha se
kya maalum ho raha hai jo maahe ramzaan ke roze nahi rakhe ga woh halaakh hojaayega,
isiliye hame chahiye ke maahe ramzaan ke mukammil 30 roze rakhe, aur chote
chote bahaane bana kar roze tark na kare warna hum yakhinan halaakh hojayenge
kyun ki koun baddua kar rahe hai aur ameen koun kehe rahe hai ?
0 comments:
Post a Comment