12 Jan 2014

- Basa huwa he Nabi ka dyar aankhon mein


Basa huwa he Nabi ka dyar aankhon mein
Sajaye baitha hun ek jalwa zaar aankhon mein

Dyar-e-paak ka har manzar-e-haseen-o-jameel
Ruhe ga Kaa'ba qaza yaad gar aankhon mein

Basa huwa he Nabi ka dyar aankhon mein
Sajaye baitha hun ek jalwa zaar aankhon mein

Mehak ruha he ab tak woh pyar aankhon mein
Ab iss se barh ke koi surma aur kya ho ga?

Samait laya hun mein kuch ghubar aankhon mein
Basa huwa he Nabi ka dyar aankhon mein

Bagher dekhe Madinah inhe nazar aaya
Hein munfarid meri aankhe hazaar aankhon mein

Basa huwa he Nabi ka dyar aankhon mein
Tarap he dil mein Madine ke jalwa zaron kee

Aur intizar-e-safar beqaraar aankhon mein
Basa huwa he Nabi ka dyar aankhon mein

Sunaonga woh kahani Huzoor ko ja kar
Chupaye baitha hun jo ashkbar aankhon mein

He e'etmad bhi Iqbal ko shafa'at par
Saza ka khawf bhi he gunahgar aankhon mein

Basa huwa he Nabi ka dyar aankhon mein
Sajaye baitha hun ek jalwa zaar aankhon mein

0 comments:

Post a Comment