22 Jun 2014

- Etekaaf Ki Faziat Aur Ahkam

Fazilat-e-Itikaf
Hadees: Ummul Momineen Siddiqa Radiyallahu T'aala Anha Se Riwayat Hai K Rasoolullah Sallal Laahu T'aala Alaihi Wasallam Razmzaan Ke Aakhri Ashra(Aakhri 10 din) Mein Itikaf Farmaya Karte (Bukhari, Muslim)

Hadees: Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu T'aala Anhuma Se Riwayat Hai K Huzoor Sallal laahu T'aala Alaihi Wasallam Itikaf Karne Wale Ke Baare Mein farmaya Woh Gunaahon Se Baaz Rehta Hai Aur Nekiyon Se Use iss Qadar Sawaab Milta Hai Jaise Usne Tamaam Nekiyaan Ki. (Ibne Maajah)


Hadees Hazrate Husain Radiyalllahu T'aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallallaahu T'aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jisne Ramzaan Mein 10 Dino Ka Itikaf Kar Liya To Aisa Hai Jaise 2 Haj Aur 2 Umre Kiye.(Baihaqi)


Masla: Masjid Mein Allah Ke Liye Niyyat Ke Saath Theherna Itikaf Hai Aur Uske Liye Musalmaan Aaqin(Aql Wala) Hona Aur Janaabat(Napaaki) Aur Haiz Aur Nifaas Se Paak Hona Shart Hai, Baalig Hona Shart Nahin.


Itikaf Ki 3 QIs mein Hai

1. Wajib
2. Sunnate Mu-akkida
3. Mustahab
1) Itikaf-e-wajib: Ye Mannat Ka Itikaf Hai Jaise kisi Ne Mannat Maani Ki Fulah Kaam Ho Jaayega To MAIN 1 Din Ya 2 Din Itikaf Karuga To Ye Itikaf Wajib Hai Iska Poora Karna Zaroori Hai. Itikafe Wajib Ke Liye Rozah Shart Hai Bagair Rozah Ke Saheeh Nahin.

2)
Itikaf-e-Sunnate Mu-akkida: Ye Ramzaan Ke Poore Ashraye Aakhira Yaani Aakhiri 10 Din Mein Kiya Jaaye.

Masla- 20'svi Ramzaan Ko Suraj Doobte Waqt Itikaf Ki Niyyat Se Masjid Mein Maujood Ho Aur 30'svi Ko Suraj Doobne Ke Baad Ya 29'svi Ko Chaand Hone Ke Baad Nikle.


Masla- Agar 20'svi Taarikh KO Baad Namaaz-E-Magrib Itikaf Ki Niyyat Ki to Sunnat-e-Mu-akkida Adaa Na Hogi.


Masla- Ye Itikaf Sunnat-e-Mu-akkida Kifaya Hai k Agar Sab Chhodh de to Sab Pakre Jaayen Aur Agar 1 Ne Bhi Kar Liya To Sab Choot Jaayen.


Masla- Iss Itikaf Mein Bhi Rozah Shart Hai Magar Wahi Ramzaan Ke Roze Kaafi Hai.


3) Itikaf-e-Mustahab: Itikafe Wajib Aur Itikafe Sunnat-e -Mu-akkida Ke Alaawa Jo Itikaf Kiya Jaaye Wo Mustahab Hai. Itikafe Mustahab Ke Liye Rozah Shart Nahin, Ye Thodi Der Ka Bhi ho Sakta Hai Masjid Mein Jab Jab Jaaye Iss Itikaf Ki Niyyat Kar Le Chaahe Thodi Hi Der Masjid Mein Rehkar Chala Aaye Jab Masjid Ke Bahaar Aa Jaayega Itikaf Khatm Ho Jaayega Aur Uski Niyyat Ye Hai.

Urdu Mein Iss Tarah Kahein Maine- Allah Ke Waaste Itikaf-e-Mustahab Ki Niyyat Ki.


Masla: Mard ke Itikaf ke liye masjid zaroori hai.


Masla: Aurat apne ghar ki USS jagah Mein Itikaf kare Jo jagah Usne namaaz ke liye mukarrar kar rakhi ho.


Masla: Agar aurat ne namaz ke liye koi jagah mukarrar Nahin Kar rakhi hai to ghar Mein Itikaf Nahin kar sakti, albatta agar iss waqt yaani jab ke Itikaf ka irada kiya Kisi jagah KO namaaz ke liye khaas karliya to USS jagah Itikaf kar sakti hai.


Masla: Aurat ke liye ye mustahab hai k ghar Mein namaaz padhne ke liye koi jagah mukarrar Karle aur Use paak aur saaf rakhe.


Masla: mutakIf (Itikaf karne wala) KO masjid se bagair uzr nikalna haram hai agar nikla to Itikaf toot jaayega, chaahe bhool kar hi nikla ho jab bhi.


Masla: Aurat agar apne Itikaf ki jagah se nikli to Itikaf jaata raha, chaahe ghar hi Mein rahe.


Masla: mutakif (Itikaf karne wala) masjid hi Mein khaaye peeye soye in Umoor ke liye masjid se bahaar hoga to Itikaf jaata rahega, magar khaane peene Mein yeh Ehtiyaat lazim hai k masjid aaluda Na ho.


Masla : Mutakif ke siwa aur kisi ko masjid Mein khaane peene sone ki ijaazat Nahin aur agar yeh kaam karna chaahe to Itikaf ki Niyyat karke, masjid Mein jaayen aur namaaz padhen ya zikr-e-ilahi kare phir yeh kaam kar sakta hai.


Masla: Mutakif Na chup rahe Na baat kare balki quran-e-majid ki tilawat hadees ki Qeerat aur durood sharif ki kasrat kare, ambiya WA auliya WA saaleheen ke haalaat padhe.


Masla: Itikaf jis wajah se bhi toote Qasdan ya bila Qasd beHerhaal qaza wajib hai.


Masla: sunnat-e-muakkida Itikaf agar todha to jis din todha faqat USS ek (1) din ki qaza hai poore das (10) dinon ki qaza wajib Nahin.

Masla: agar nafl Itikaf todh De to iski qaza Nahin.

Ayetekaf ke Chand Zarori Masayil

1: Masjid me Allaah azzawajal ke liye niyath ke sath tehrna Ayetekaf hai aur Ayetekaf k 3 kisme hai
1: Wajib Ayetekaf [Jaisa ke kisi ne Mannat mangi]
2: Sunnat-e-Mukida Ayetekaf [Mahe Ramzan ke Akhiri 10 roze me Ayetekaf]
3: Nafli Ayetekaf [Jab bhi masjid me dakhil hoto niyath karle]
Note:
1: Wajib aur Sunnat-e-mukida Ayetekaf ke liye roza shart hai, Agar Roza na rakha ya Kisi wajese Roza toot gaya to sunnath ka nahi, nafil ka sawab milega

2: Wajib Ayetekaf me roze ki niyath kare ya nakare magar Roza shart hojata hai, Agar 1 mahine ki mannath mangi thi ye mannath Mahe Ramzan me puri nahi kar sakta

2: Mutakif ko 20vi roze ka suraj gurub hone se phele phele dakhil hona shart hai aur gurube aftaab ke ek lamha baad bhi dakhil hoga tho Ayetekaf na hoga aur 30vi ke gurub ke baad ya 29 ko chand hone ke baad masjid se nikle

3: Mutakif Masjid hi me khaye, Piye, Soye, in kamo keliye Masjid ke bahar najaye magar Khane Pine me ye Ahtiyat lazim hai ke Masjid aluda naho

4: Mutakif Ayetekaf me Quran sharif ki tilawat kare, Darood sharif ki kasrath kare, Ilm-e-Deen sikhe ya sikhaye, Nath sharif pade Agar dusron ki ibadaath ya aaraam me khalal waqiya hoo to buland awaz se tilawat, zikr-o-nath napade aur afsane, kisse kahaniya napade aur Aise bat bhi na kare

5: Mubah bath bhi mutakif ko mukro hai, Bawaqte zarurath mutakif ko Zarori bath jayiz hai aur bezarorath masjid me Mubah kalam bhi nekiyoun ko aise khajata hai jaise aag lakdi ko

6: Ayetekaf ke dauran Bila uzr nikalna haram hai aur Ayetekaf jata rahega

7: Mutakif ko Masjid se Nikalne ke 2 uzr
1:Hajate tabayii: Agar Hajate Tabayii jaisa ke Wazu, Gusl, Istinja wagera masjid me puri na ho sakhe tho jasakhta hai
2:Hajate Sharyii: Agar Hajate Sharyii jaisa ke Namaz ki jamat, Juma ke liye wagera masjid me puri naho ti ho tho jasakhta hai

8: Kaza-e-Hajath ko gaya tho taharath karne ke baad fauran chale aye, Teher ne ki izazath nahi

9: Wazu khane me ya istenja khane me rush hone ki surath me mutakif masjid me wapes ajaye wahi na tehre

10: Istenja ke liye gaya, Qarzkha (Jisne qarz diya) ne rukliye tho Ayetekaf fasid hogaya

11: Mutakif istenja jate waqt chalte chalte batain karsakhta hai lekin teher nahi sakhta ek lamha bhi tehrega to ayetekaf toot jayega

12: Mutakif gusl farz ke alawa kisi aur gusl keliye nahi jasakhta

13: Mutakif ko Ahtelam hojaye tho tayamum karke fauran gusl khane me gusl karle

14: Mutakif kapde badalne keliye gusl khane me nahi jasakhta, chadar wagera ka intezam phele se karle

15: Mutakif manjan ya tooth paste ke liye wazu khane per nahi jasakhta agar jayega tho Ayetekaf toot jayega

16: Mutakif wazu per wazu karne keliye wazu khane per nahi jasakhta albattah wazu toot ne per wazu karne keliye jasakhta hai

17: Mutakif wazu ke baad wazu khane per kalma-e-shahadath ya wazu ke baad ki duwayain na pade balke masjid me akar pade

18: Mutakif wazu karne ke baad wazu khane per koyi cheez bhuljaye maslan miswak, ghadi wagera tho khud lene nahi jasakhta hai, kisi dusre shaksh se mangale

19: Mutakif Khane se phele hath dhone ke liye wazu khane per nahi jasakhta albattah masjid me bartan ka intezam karle aur masjid ka ahteram malhuz rakhe

20: In kamo se Ayetekaf fasid hojayega
1:Kisi ko bachane keliye Bahar gaya
2:Gawayi dene keliye Bahar gaya
3:Mariz ki iyadath ke liye gaya
4:Namaz-e-Janaze ke liye gaya
Note: Ayetekaf ki niyath karte waqt agar ye shart karli ke Mariz ki iyadath aur Namaz-e-Janaze keliye jawonga tho ab Ayetekaf fasid nahi hoga.

21: Agar kisi wajese Kisi din ka Ayetekaf fasid hogaya tho usi din ki qaza karna wajib hai pure 10 dino ki qaza wajib nahi

22: Agar Roza fasid hogaya tho Ayetekaf bhi fasid hojayega

23: Mutakif ko masjid me parda lagana zaruri nahi agar lagana chahe tho kisi bhi kone me laga sakhta hai

24: Ayetekaf ke dauran agar kalma-e-Kufr nikalgaya tho Ayetekaf toot jayega, use fauran tajdid-e-Iman karle

25: Mutakif Ayetekaf ke dauran kachchi pyaz nahi khasakhta hai, Her badboo dar cheez khane se bache

1 comments:

Unknown said...

Subhanallah very nice sms i really very thankful

Post a Comment