22 Jun 2014

- Eid Ki Sunnat Aur Adab

1: Hajaamath Banvana [Katting Karwana] (Shariat ke mutabik karwana)
2: Nakhoon Tarashna

3: Gusul karna

4: Miswak Karna
(Eid ke din wazu ke alawa,alagse miswak karna sunnath hai)

5: Acche ya naye kapde pehenna

6: Khusbo lagana

7: Angoti phenna (Ek Chandi Angoti jo 4.5 mash ke kaam ho ek nagine ke sath)

8: Namaz-e-Fazr Mohalle ki masjid me padna

9: Eid ki Namaz se phele kuch Mita khaye

10: Eid ki Namaz eidga me ada karna

11: Eidga paidal jana

12: Namaz-e-Eid ke liye eidga ek raste se jana aur dusre raste se wapas ana

13: Apasme mubarak baad dena

14: Eid ki Namaz se Phele Sadqa-e-Fitr ada karna

15: Bad Namaz-e-Eid musafa aur mu'aanaqa karna

16: Takbeer Ayista se Kahe
[yani Allaahu akbar,Allaahu akbar,Laa ilaaha illallaahu, wallaahu akbar,Allaahu akbar wa lillaahil humd]

Eid Ka tohfa:
"Jo shaks Eid ke din 300 martaba "Subhaanallaahi Wabi Humdihi" pade aur fouth shuda musalmano ki arwaah ko iska sawab hadiya kare to, Her musalman ki qabr me 1000 anwar dakhil hote hai aur jab woh padne wala khud marega to Allaah(azzawajal) uski qabr me bhi 1000 anwar dakhil farmayega"

0 comments:

Post a Comment