22 Jun 2014

- Iftar Ka Taruf (Meaning), Ahmiyat Aur Fazilat


Iftaar ka taaruf: Lafze iftaar ya toh “fitrantun” se bana hai jiska ma’ana aadath, iss ma’ane ke lihaaz se usse iftaar isliye kahenge ke iftaar ke baad insaan ko uski aadath ke mutabiq khaane peene aur digar amal karne ki ijazat mil jaati hai jinhe haalate roza mein nahi karsakhta tha,  Ya to fatratun se bana hai jiske ma’ana hai shaghaaf padhna, suraakh hona iss ma’ane ke lihaaz se iftaar ko iss liye iftaar kahate hai ke do(2) rozon ke darmiyan iftaar ke zariya shaghaaf ho jaata hai.



Iftaar karne ka tarikha:  Jab gurube aaftaab ka yakeen hojaye toh aub iftaar karne mein deir nahi karni chahiye, azaan ka intezaar na kare fauran koyi cheez kha peele magar behtar hai ke khajur ya chuhare(Sukhe Khajur) ya paani se iftaar kare ke ye sunnat hai.



Khajur khakar ya paani peene ke baad ye dua padhe, “Allaahumma Innee laka sumtu wa bika Aaamantu wa alaika tawakkaltu wa alaa rizqika aftartu”

Tarjuma: Aye Allaah azzawajal maine tere liye roza rakha aur tujh par imaan laaya aur tujhi par bharosa kiya aur tere diye huye rizq se roza iftaar kiya aur azaan shuru ho jaaye toh khana peena bilkul maukuf karde aur azaan ka jawaab dein

Ziyada tar loog iftaar ki dua khaane se pehle padhle the hai, Ye galat hai kyun ke duwa iftaar ke baad yaani kuch khaane ya paani peene ke baad padhe.  Iss dua ka turjuma ziyaada gaur se padhe toh maalum hojaaye ke kab dua padhna hai. Aakhiri jumlon par gaur kare “Aur tere diye huye rizq se roza iftaar kiya” yaani iftaar kiya. Lafz kiya maazi(past tense) par istemaal hota hai, Iftaar kiya yaani iftaar khaya.


Iftaar jaldi karne ki fazilat:

Pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ka farmaan ka maffum ye hai:

1)   Mere bandon mein mujhe jiyada pyara woh hai jo iftaar mein jaldi kare.

2)   Ye deen hamesha gaalib rahega jab tak log iftaar mein jaldi karte rahenge ye yahood aur nasaara takhir karte the.

3)   Jab tum mein koyi roza iftaar kare toh kajur aur chuhare se iftaar kare woh barkat hai aur agar na mile toh paani se ke woh paak karene waala hai.

4)   Hazrate Anas Radiallaahu ta’ala anhu ke riwaayat hai ke Pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam namaaz se pehle khajur se roza iftaar farmate, tar khajur na hote toh chand khushk khajur(chuhare) se agar ye bhi na hote toh chand chullu bhar paani se.



 Rozedaar ko iftaar karaane ki fazilat:



1)   Hazrate Sayyidina Salmaan Farsi Radiallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke sarkare madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne farmaaya jisne halaal khane ya paani se kisi musalmaan ko roza iftaar karaye toh farishte maahe ramzaan ke aukat mein uske liye istagfaar karte hai aur jibrayeel alaihissalam shab-e-Qadar mein uske liye istagfar karte hai.

2)   Ek aur riwaayat mein aata hai ke jo halaal kamaayi se ramzaan mein roza iftaar karaye. Ramzaan ki tamaam raaton mein farishte uss par durood bhejte hai aur Shab-e-Qadar mein Jibrayeel Alaihissalam uss se musaafa karte hai.

3)   Ek aur riwaayat mein hai jo rozedaar ko koyi paani pilayega Allaah azzawajal usse mere Houz-e-Kausar se pilaayega ke jannat mein jaane tak pyaasa na hoga.



Hadees: Hazrate Anas Radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur-e-Aqdas Swallallaahu ta’ala alaihi wa sallam ne farmaaya “Sahari khawo ke sahari khaane  mein barkat hai. (BUKHAARI aur MUSLIM)

Hadees: Hazrat Abdullah ibne Umar Radiyallaahu ta’ala anhuma se riwaayat hai ke huzure akram Swallallaahu ta’ala alaihi wa sallam ne farmaaya “Allah aur uske farishte sahari khaane waalon par durood bhejte hai. (TIBRANI)

Hadees: Hazrat Abu Saeed Khudri Radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzoor Swallallaahu ta’ala alaihi wa sallam ne farmaaya sahari kul ki kul barkat hai usse na chhodhna agarche ek ghoont paani bhi peele kyun ki sahari khaane waalon par Allaah aur uske farishte durood bhejte hai. (MUSNAD IMAAM AHMED  BIN MAMBAL)

Hadees: Hazrate Sahal Bin Sa’aad Radiyallaahu Ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur-e-Aqdas Swallallaahu ta’ala alaihi wa sallam ne farmaaya hamesha loog khair ke saath raheinge jab tak iftaar mein jaldi karenge. (BUKHAARI, MUSLIM SHARIF)

Hadees: Hazrate Abu Hurairah Radiyallaahu Ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur Swallallaahu ta’ala alaihi wa sallam ne farmaaya ke Allaah Ta’ala ne farmaaya mere bandhon mein mujhe ziyaada pyaara woh hai jo iftaar mein jaldi karta hai.  (TIRMIZI)

Hadees: Hazrate Salman bin Aamir Radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzoor-e-Aqdas Swallallaahu ta’ala alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya jab tumme se koyi roza iftaar kare toh khajoor ya chhohare se iftaar kare ke woh barkat hai agar woh na mile toh paani se ke woh paak karne waala hai. (ABU DAWOOD, TIRMIZI SHARIF)

Masla- Sahari khaana aur usme taakhir karna mustahab hai magar itni taakhir makruh hai ke subho ka shak ho jaaye.

Masla- Iftaar mein jaldi karna mustahab hai magar iftaar uss waqt kare ke gurub ka gaalib gumaan ho, jab tak gumaan gaalib na ho iftaar na kare agarche mu-azzin ne azaan keh di hai aur baadal ke dino mein iftaar mein jaldi na kare.

Masla- Baaz loog fajr ki azaan tak sahari khaate rehte hai unka roza nahin hota

Masla- Subho saadiq tak sahari kha sakte hai magar ehtiyaatan 5 minute pehle khaana pina mauqoof kar dena behtar hai. 

Masla- Kisi bhi roze ke liye sahari shart nahi ye jo awaam mein mashoor hai ke nafli roze ke liye sahari zaruri hai iski koi asl nahi balke bagair sahari bhi ye roze ho jaayenge.

0 comments:

Post a Comment