22 Jun 2014

- Shab-e-Qadr (Lailatul Qadr)

Lailatul qadr ka taaruf: Ise Lailatul qadr iss liye kehete hai ke iss raath mein saal bhar ke ehkaam nafiz kiye jaate hai yaani farishte registaron mein ayinda saal hone waale mu’aamalaath likhte hai. 

 Lailatul qadr ki ahmiyat:
1)   Lailatul qadr ki raath Hazrat-e-Isa Ruh-ullaah Alaihissalam aasmaan par uthaye gaye.

2)   Isi  shab farishton ki paidayish huyi.

3)   Isi raath Hazrat-e-Aadam Alaihissalam ki takhliq ka saamaan jama hona shuru huwa.

4)    Jannat mein darakht bhi isi raath lagaayi gaye.

5)   Laitatul qadr ke mutaaliq Qur’aan me Rab azzawajal irshaad farmaata hai. - Tarjuma: Beshak humne iss shab-e-qadr mein utaaraa aur tumne jaanaa kiya shab-e-qadr 1000 mahino se behtar hai iss mein farishte aur Jibrayeel Alaihissalam utarte hai, apne Rab azzawajal ke hukm se, Har kaam ke liye woh salaamati hai subho chamakne tak.
Pyare islaami bhaiyoun aur beheno shab-e-Qadr kis qadar aham raath hai ke iss ki shaan mubaarak mein Allaah azzawajal ne poori ek surat naazil farmaayi. SHAB-E-QADR ke fazaail mein surah-e-qadr naazil huyi, Allah Ta’ala ne isi shab mein Qur’aan-e-haqim Ek baar hi lauhe mehfooz se aasmaane duniya ki taraf naazil farmaya.

6)   Tamaam bhalayiyoun se meherum koun: Hazrat-e-Sayyidina Anas Bin Maalik Radiallaahu ta’ala anhu farmaate hai ke ek baar jab maahe ramzaan tashrif laayaa toh Sarkar-e-Madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne farmaaya ke tumhare paas ek mahina aaya hai jisme ek raath aisi bhi hai jo  1000 mahino se afzal hai jo shaks uss raath se meherum rahegaya goya tamaam ki tamaam bhalayi youn se meherum rahegaya aur uss ki bhalaayi se meherum nahi rahetaa magar woh shaks jo haqiqatan meherum hi hai.

Ladaayi ka wabaal: Hazrat-e-Sayidina Ubaadah Radiallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Sarkar-e-Madina Swallallaahu alaihi wa sallam baahar tashrif laaye taake hum ko shab-e-qadr bataaye ke kis raath hai, do(2) musalmaan apas mein jhagad rahete. Aap Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya mai iss liye aaya tha ke tumhe shab-e-qadr batawon lekin fulah fulah shaks jhagad rahete iss liye iss ka ta’ayyan utha liya gaya aur mumkin hai ke isi mein tumhaari behtari ho. Aub iss ko aakhiri ashre ki 9vi, 7vi, 5vi raaton mein dhundo.

 Alaamatein Shab-e-qadr:
1: Aakhiri ashre ki raaton mein hai yaani 21vi, 23vi, 25vi, 27vi, 29vi shab mein hai ya maahe ramzaan ki akhiri shab mein hai toh jo koyi imaan ke saath ba niyat-e-sawaab iss mubaarak raath mein ibaadat kare uske tamaam guzishta gunah baksh diye jaate hai.

2: Ek alaamath ye bhi hai ke woh mubaarak shab khuli huyi roshan aur bilkul saaf wa shaffaaf hoti hai, iss mein na ziyaada garmi hoti hai na ziyada sardi balke ye raath mutadil hoti hai goya ke iss mein chaand khula huwa hota hai iss poori raath mein shayaateen ko aasmaan ke sitaare nahi maare jaate. 

3: Ek aur alaamat ye bhi hai ke iss raath guzarne ke baad jo subho aati hai uss mein suraj bagair shuyein ke tulu hota hai aur woh aisa hota hai goya ke chaudvi ka chaand.

4: Samandar ka paani mitha hota hai: Hazrat-e-Ubaid ibne Imraan Radiallaahu ta’ala anhu kaha ke mai ek raath ko buhare qulzum ke kinaare par tha aur usi khare paani se wuzu karne laga. Jab maine woh paani chakkha toh shahed se bhi ziyada mitha maalum huwa mujhe behad ta’ajjub huwa maine Hazrat-e-Usmaane Gani Radiallaahu ta’ala anhu se isi baath ka zikr kiya toh unhone farmaaya aye Ubeda Radiallaahu ta’ala anhu woh lailatul qadr hogi. Majeed farmaaya jis shaks ne ye raath Allaah azzawajal ki yaad mein guzaari usne goya 1000 maah se bhi ziyada arsa ibaadath ki aur Allaah azzawajal uss ke tamaam gunahoon ko maaf farmaadega.

Fazilate Shab-e-qadr: Iss shab mein ibaadat karna hazaar mahinon ke ibaadat se behtar hai iss shab mein Hazrat Jibrayeel Alaihissalam aur beshumaar farishte duniya ki taraf utarte hai aur jo loog ibaadat wa riyaazat mein mashgool rehte hai unhe salaam paish karte hai aur unke liye istigfaar karte hai aur ye farishte subho saadiq tak rehte hai.

1)   Jisne shab-e-qadr mein 3 martaba poora kalima-e-Tayyaba yaani Laa Ilaaha Illallaahu Muhammadur Rasoollullaah Swallallaahu alaihi wa sallam padha toh;  Peheli martaba padhne se Allaah azzawajal uski magfirat farmaadeta hai aur Dusri martaba padhne se Allaah azzawajal jahannam se aazaad farmadeta hai aur Teesri martaba padhne se Daahkhile jannat farmaata hai.

2)   Jisne shab-e-qadr mein qiyaam kiya sawaab ki niyyat se Allaah azzawajal uske agle pichle tamaam gunah baksh dega.

3)   Jo maahe ramzaan ki 27vi shab mein gusl kare namaz ki niyyat se, Allaah azzawajal uske tamaam gunah bakshdega pawon dhoone se pehle.

4)   Jo maahe ramzaan ki 27vi raath ko zinda rakhega Allaah azzawajal uske liye 27,000 saal ka sawaab likhta hai aur Allaah azzawajal uske liye jannat mein ghar banaata hai jin ki tadaad Allaah azzawajal hi janta hai.

5)   Agar tum chahate ho ke tumhaari qabar noor se roshan ho  toh shab-e-qadr mein ibaadath karo.

6)   Jisne shab-e-qadr ko paaya Allaah azzawajal uss par doozakh ki aag haraam farmadega.

7)   Shab-e-qadr ka tofa: Maula-e-kaayinaat Hazrat-e-Ali Radiallaahu ta’ala anhu farmaata hai “Jo koyi shab-e-qadr mein sura-e-qadr 7 baar padhta hai Allaah azzawajal usse har balaa se mehfuz farmadeta hai aur 70,000 farishte uske liye jannat ki dua karte hai aur jo koyi(jab kabi bhi) juma ke roz namaaz-e- juma se qabl 3 baar sura-e-qadr padhta hai Allaah azzawjal usse uss roz ke tamaam namaaz padhne waalon ki taadaad ke baraabar nekiyan  likhte hai.

8)   Shab-e-qadr ki dua: Hazrat-e-Sayyidituna Ayesha Siddiqa Radiallaahu ta’ala anhaa farmaate hai mein ne apne Sartaj sarkar-e-madina Swallallaahu alaihi wa sallam ki khidmate babarkat mein arz kiya Ya Rasoollallaah Swallallaahu alaihi wa sallam agar mujhe shab-e-qadr ka ilm hojaaye toh kya padhon ? toh Sarkar-e-madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya iss tarah dua mango.

              Allaahumma innaka Afuwwun tu hibbul Afwa fa^a fu annii”
Tarjuma: Aye Allaah azzawajal beshak tu maaf farmaane waala hai aur maafi dene ko pasand bhi karta hai lihaaza mujhe bhi maaf farmaade.
Pyare islami bhaiyoun rozaana kam-az-kam ek baar ye dua padliya kare kyun kabi toh shab-e-qadr naseeb ho jayegi warna kam-az-kam 27vi shab ko iss dua ko padhle.

Shab-e-qadr ke nawaafil:  Hazrat Sayyedina Ismayil Haqqi Radiallaahu ta’ala anhu tafsir Ruhul bayaan mein ye riwaayat nakal karte hai ke jo shab-e-qadr mein ikhlase niyyat se nawafil padhega uske agle pichle sab gunah maaf hojayenge.
Jo koyi shab-e-qadr mein 2 rakaath namaaz padhe har rakaat mein Sura-e-fatiha ke baad, 7 baar Sura-e-ikhlaas padhe aur salaam pherne ke baad 70 martaba Astagfirullaaha wa atubu ialaih padhe toh apni jagah se uthne se pehle Allaah azzawjal  usko aur uske walidain ko bakhsh deta hai.

Iss shab ki fazilat mein ahadees bahot hai yaha kuch zikr ki jaati hai

1)   Hazrat Abu Hurairah Radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur-e- Aqdas Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ramzaan mein 1 raath aisi hai jo hazaar maheeno se behtar hai jo iski bhalaiyo se mehrum raha woh beshak mehrum hai.

2)   Hazrat Anas Radiyallahu ta’ala anhu se riwaayat hai kehte hai ramzaan aaya toh Huzur-e-Aqdas Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya ye maheena aaya iss mein 1 raath hazaar maheeno se behtar hai jo isse mehrum raha woh har cheez se mehrum raha aur uske khair(bhalai) se wahi mehrum hoga jo poora mehrum hai. (IBNE MAJAH)

3)   Hazrat Salmaan Farsi Radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai Huzur-e-Aqdas Swallallaahu alaihi wa sallam ne farmaaya aye loogon! Tumhaare paas azmat waala barkat waala maheena aaya woh maheena jisme 1 raath hazaar maheeno se behtar hai. (BAIHAQI)

4)   Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke huzur-e- Aqdas Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya jo imaan ki wajah se aur sawaab ke liye shab-e-qadr mein ibaadat karega uske agle gunaah bakhsh diye jaayenge. (BUKHARI, MUSLIM)

Lijhaaza iss raath mein ziyaada se ziyaada ibaadat karni chaahiye, ye raath bahut buzurgi aur fazeelath wali hai iska har har lamha ibaadat mein guzaarna chaahiye. 

Iss raath ko idhar udhar ghoom kar  behuda baaton mein guzaar dena sakht mehrumi hai.

Baaz loog aisi raaton mein raath ke aakhir hisse tak jaagte hai phir soo jaate hai aur din mein uthte hai, iss tarah unki fajr ki namaaz qaza ho jaati hai jo ke jaayiz nahi. 

Jin loogo ko fajr mein bedaar hone ka yaqeen na ho unko aise waqt mein soona hi mana hai aise loogo ko chaahiye ke isha ki namaaz jama’at se padhkar soo jaaye aur fajr ki namaaz jama’at se padhe ke hadees sharif mein hai ke Huzur-e-Akram Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya jisne ba jama’at isha ki namaaz padhi goya aadhi raat qayaam(ibaadat) kiya aur jisne fajr ki namaaz jama’at se padhi goya poori raath qayaam(ibaadat) kiya (MUSLIM SHARIF) iss tarah unko raath bhar ibaadat karne ka sawaab mil jaayega aur fajr ki namaaz qaza na hogi. 

Iss raath mein qasrat se nawafil padhe aur agar zindagi me qaza namaaze ho toh behtar ye hai ke nawaafil ki jagah qaza namaaze padhe aur taakhir se adaa karne ke apne rab se maafi maange.

Aala Hazrat azeemul barkat Imam Ahmed Raza Faazile Bareilvi Radiyallaahu ta’ala anhu irshaad farmaate hai qaza har roz ki namaaz faqat 20 rakaton ki hoti hai 2 fajr ki, 4 zohar ki,  4 asr ki, 3 magrib , 4 isha, 3 vitr, agar waqte baalig na malum ho toh iske liye mard 12 baras aur aurat 9 baras ki umr se namaaz ka aisa hisaab lagaaye ke takhmeena mein baaqi na rahe jaaye. ziyaada ho jaaye toh harj nahi aur wo sab baqadre taaqat rafta rafta jald adaa karein kaaheeli na karein. 

Jab tak farz zimaa rehta hai koi nafl qubool nahi kiya jaata, niyyat unn namaazo ki iss tarah ho maslan 100 baar ki fajr ki qaza hai to har baar yu kahe ki sab se pehli jo fajr mujhse qaza huyi har dafa yehi kahe yaani 1 adaa huyi to baakiyon mein jo sabse pehli hai isi tarah zohar wagairah har namaaz mein niyyat kare.

Jis par bahut si namaaze qaza ho uske liye takhfeef ki surat ye hai ke 
1) Farz ki teesri chouthi rakaaton mein surah-e-fateha ki tilaawat ki jagah 3 baar subhanallah kehkar ruku mein jaaye.

2) Neiz tasbeehaate  ruku aur sujood  mein sirf 1 baar Subhana Rabbiyal Azeem aur Subhana Rabbiyal Aa’la padhlena kaafi hai. (yaad rahe ye tasbeehaat ruku mein jaane ke baad aur uthne se pehle adaa kare)

3) Tashahhud ke baad dono durood sharif aur dua ke bajaaye Allahumma salle alaa sayyedina Muhammadiw wa aalihi keh kar salaam pheir de.

4) Vitro mein bajaaye qunoot ke 3 baar Rabbig Phirli kehna kaafi hai.
Tuloo, gurub wa zawaal ke alaawa qaza namaaze har waqt adaa ki ja sakti hai. (Fatawa-e-Razviya jild 3, safa no 621-622) Allaah ta’ala hum sab loogo ko iss raath ki ehtaraam ki taufeeq ataa farmaaye.

0 comments:

Post a Comment