22 Jun 2014

- Mahe Ramzan Ki Behurmati Ki Saza

 Sarkar-e-Madina (Swallallaahu alaihi wa sallam) ka farman ka mafum hai :



1.   Ek Saal ke amal barbaad: Maahe ramzaan mein ek gunah karna, ek saal ke amal barbaad kardiye jaate hai.

2.   Qatal karne ka hukum: Fuqae ikraam Fuka-e-ikaram farmaate hai jo shaks maahe ramzaan mein bagair kisi majboori ke alal elaan jaan bujhkar khaaye peeye usko khatal kardiya jaaye, waise hi ye hukum haakime islaam ke liye hai ke woh iss qisam ke rozakhooron ko saza de awaamunnaas ka ye kaam nahi.

3.   Pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ki shifa se mehrum:
Qiyaamat ke din ek shaks ko aisi haalat mein laaya jaayega ke farishte isko khoob maar peet rahe honge. Sarkaar-e-madina Swallallaahu alaihi wa sallam se woh sahara talaash karega. Aap Swallallaahu alaihi wa sallam inse dariyaafat farmayenge iska kya gunah hai, ke itna maar rahe ho woh kahenge isne maahe ramzaan ko paaya magar phir bhi Allaah ta’ala ki nafarmaani par dataa raha Huzur Swallallaahu alaihi wa sallam sifaarish karna chahege toh hukum hoga mere Habeeb Swallaahu alai hi wa salam iska daawa toh maahe ramzaan ne kiya hai Aap Swallallaahu alaihi wa sallam farmayenge iska daawedaar maahe ramzaan hai main isse bezaar hoon.

4.   Qabar ka bhayaanak manzar: Ek baar maula-e-kaayinaat Hazrat-e-Ali radiallaahu ta’ala anhu ziyaarate qabar ke liye qabarstaan tashrif legaye. Waha par ek taaza qabar par nazar padhi. Aap ko uske haalath maalum karne ki khushi huyi chunanche baargahe Khudawand azzawajal mein arz guzaar huye.
Ya Allaah azzawajal iss maiyyat ke haalath mujhpar zaahir farma. Fauran Allaah azzawajal ki bargah mein aap Radiallaahu ta’ala anhu ki ilteja suni gayi aur dekhte hi dekhte aap Radiallaahu ta’ala anhu ke aur uss murde ke darmiyan jitney parde haayil the tamaam utthadiye gaye.

Aub ek haibatnaak manzar aap Radiallaahu ta’ala anhu ke saamne tha kya dekhte hai ke murda aag ki lapeit mein hai aur ro ro kar aap Radiallaahu ta’ala anhu) se fariyaad kar raha hai Ya Ali Radiallaahu ta’ala anhu mai aag mein dooba huwa hoon, Hai aag mujhe jalaaye jaarahi hai aye Ali Radiallaahu ta’ala anhu mere haale zar par raham farmaaye aur Allaah azzawajal se mujh bekas ki sifaarish farmakar mujh se iss haulnaak azaab se nijaat dilayiye.

Khabar ki dehshatnaak manzar aur murde ki cheekh-o-pukaar aur dardnaak fariyaad ne Maula Ali Radiallaahu ta’ala anhu ko bekarar kardiya, Aap Radiallaahu ta’ala anhu apne rehemat waale Allaah azzawajal ke darbaar mein haath utha diye aur nihaayat hi aajeezi ke saath uss maiyyat ki bakshish ke liye darkhast paish ki gaib se aawaaz aayi aye Ali Radiallaahu ta’ala anhu Aap iski sifaarish nahi farmaayiye kyun ke Roze rakhne ke baawajud ye badnasib shaks maahe ramzaan ki behurmati karta tha, maahe ramzaan mein bhi gunahoon se baaz na aata tha din ko roze toh rakhta tha phir bhi raton ko gunahon mein mubtila reheta tha.

Hazrate Ali Radiallaahu ta’ala anhu ye sunkar aur bhi ranjida hogaye aur sajde mein gir kar ro ro kar arz karne lage Ya Allaah azzawajal meri laaj tere haath mein hai iss bande ne badi ummeed ke saath mujhe pukara hai,

mere Allaah azzawajal tu mujhe iske aage ruswa na farma iski bebasi par raham farmaade aur iss bichaare ko bakshde Hazrate Ali radiallaahu ta’ala anhu ro ro kar munajaat kar rahe the akhiri kar Allaah azzawajal raham aahi gaya unki rahamat ka dariya mauzazan huwa aur nida aayi aye Ali Radiallaahu ta’ala anhu humne tumhari shikasta dili ke sabab isko bakshdiya chunanche uds murde par se aazaab utha liya gaya.

0 comments:

Post a Comment