22 Jun 2014

- Roza Ko Tuttne, Na Tutne Wale Cheezain Aur Makhrohat

Unn Cheezon ka Bayaan jinse Rozah Nahin Tootta :
1) Bhool kar khaaya Piya HumBistari ki, Rozah Na toota chaahe WO Rozah Nafl ho ya farz

2) Kisi Rozdaar KO bhool kar khaate - peete dekhe to yaad dilaana wajib hai, yaad Na dilaya to Gunehgaar hua.

3) Makkhi ya Dhua ya Gubaar halaq Mein jaane se Rozah Nahin tootta.

4) Tel ya surma lagaaya to Rozah Na toota agarche tel ya surma halaq Mein Meinhsoos hota ho balke thook Mein surma ka rang bhi dikhaayi deta ho jab bhi Nahin toota.

5) Gusl Kiya aur paani ki thandak andar Meinhsoos huyi, Rozah Nahin toota.

6) Kulli ki aur paani bilkul phek diya sirf kuch tari munh Mein baaki reh gayi thi, thook ke saath Use nigal Gaya, Rozah Nahin toota.

7) Kaan Mein paani chala Gaya, Rozah Nahin toota.

8) Tinke se kaan khujaya aur Uss (tinke) Par kaan ka mayl lag gaya phir wahi Mayl laga hua tinka Kaan Mein daala agarche chand baar kiya ho, Rozah Na toota.

9) Daanton Se Khoon Nikalkar Halaq Tak Pahuncha Magar Halaq Se Niche Na Utra To Rozah Na Toota Aur Agar Halaq Se Niche Utra Magar Itna Kam Tha K Halaq Mein Mazah Meinhsoos Na Hua Jab Bhi Rozah Na toota.

10) Thook, Balgum, Naak ki Reet wagairah nigalne se Rozah Nahin toota.

11) Bhoole se Khana kha raha tha yaad aate hi fauran luqma phek diya ya Subha-saadiq se pehle kha raha tha aur subha hote hi Ugal diya, Rozah na gaya aur Nigal gaya to dono Surton Mein Rozah jaata raha.

12) Ehtlaam (Night Fall) hua ya Geebat ki to Rozah Na Gaya Agarche Geebat bahut sakht kabeera gunah hai.
Quran-e-Majeed Mein Geebat karne ki Nisbat Farmaya jaise Apne Murda Bhai ka Gosht khaana(Surah-e-Hujraat Aayat 12) aur Hadees Mein Farmaya Geebat Zina se bhi Sakht Tar(Bahut Sakt) hai Agarche Geebat ki wajah se Roze ki Nooraniyyat jaati rehti hai.

13) Janaabat (Napaaki) ki haalat Mein Subha ki Agar saare din Naapak raha, Rozah Na gaya magar itni der tak Qasdan Gusl na karna K Namaaz Qaza ho jaaye Gunah wa Haraam hai. Hadees Mein hai K Junub (Napaak) jis Ghar Mein hota hai usme Rehmat ke Farishte Nahin Aate.

14) Daanton Mein koi Cheez Chane se kam thi aur use Nigal gaya , Rozah na toota.

15) Injection Gosht Mein lagwaya jaaye ya rag Mein, dono Surton Mein Rozah Na tootega.

16) Aankhon Mein dawa daalne se Rozah Nahin tootta.

17) Qasdan Qai (Ulti) ki, agar munh bhar na ho to Rozah na tootega.

18) Be-ikhtiyar Qai (Ulti) ho gayi to thodi ho ya Zyaada, Rozah Na toota.

19) Khud-bakhud Ulti huyi phir use Nigal Gaya to agar munh bhar Na ho, Rozah Na Gaya.

20) Balgum ki Qai kitni hi ho use Rozah Nahin tootega.

21) Rozdar ke jism par Zakhm hai aur usse peep baha to Rozah Na Gaya.

22) Roze ki haalat Mein itr lagaya ya usko soonga ya phool soonga ya baal katwaya ya Naakhun kaata ya SAR ya badan ke Kisi aur hisse par baam ya tel ki Maalish ki ya Powder WA Cream wagairah lagaaya to inn sab surton Mein Rozah Na gaya.

23) Aansu ya Paseena munh Mein chala Gaya aur use nigal Gaya to agar Qatra-2-Qatra hai Rozah Na toota.

Rozah Todhne Waali Cheezon Ka Bayan:


1) Jaan-bujhkar Khaane-Peene, HumBistari karne se Rozah Toot jaata hai.

2) Huqqa, Sigaar, Cigerate, Charat (Charas) wagairah Peene se Rozah toot jaata hai.

3) Paan ya Tumbaku khaane se Rozah toot jaata hai.

4) Shakar (Sugar) wagairah aisi Cheezein Jo munh Mein rakhne se ghul jaati hai, Munh Mein rakhi aur Thook nigal Gaya, Rozah toot Gaya.

5) Daanton ke darmiyaan koi Cheez Chane ke barabar ya zyaada thi use kha Gaya ya kam hi thi magar Munh se nikaal kar phir kha li to dono Surton Mein Rozah toot Gaya.

6) Daanton se khoon nikalkar halaq se neeche utra aur uska mazah halaq Mein Meinhsoos hua, Rozah toot Gaya.

7) Roze Mein Daant Ukharwaya aur khoon nikalkar Halaq se neeche utra Rozah toot Gaya.

8) Naak Se Dawa Chadhayi Ya Kaan Mein Tel Dala Ya Chala Gaya Rozah Toot Gaya

9) Kaan Mein Jaanbujh kar paani daalne se Rozah toot jaata hai (Fatawae Razwiya).

10) Kulli kar raha tha Be-ikhtiyaar paani Halaq se Utar Gaya, Rozah toot Gaya.

11) Naak Mein Paani Chadhaya aur Dimaag KO chadh Gaya Rozah toot Gaya.

12) Aansu ya Paseena Munh Mein chala Gaya aur nigal Gaya to agar do Qatre se zyaada hai aur uski Namkeeni poore Munh Mein Meinhoos huyi, Rozah toot Gaya.

13) Jaanbujh kar Munh bhar Qai (Ulti) ki to Rozah toot Gaya.

14) Be-Ikhtiyaar Bhar Munh Qai (Ulti) ho gayi phir use Nigal Gaya Rozah Toot Gaya

15) Ye Gumaan tha k Subah Nahin Hui aur khaya ya piya baad KO Maloom hua k Subah ho chuki thi Rozah Na hua.

16) Ye Gumaan tha k Aaftaab Doob Gaya Aur Iftaar kar liya Baad KO Maloom hua k Na Dooba tha Rozah Na hua.

17) Jiska Rozah toot gaya Maslan Galti se Paani Wagairah koi Cheez Halaq Mein ja rahi to jo kuch Din Baaki reh gaya use Roze ki tarah Guzaarna Wajib hai.

18) Naswaar Naak Mein lagaakar Upar Kheechne se Rozah toot jaata hai.

19) Lobaan, Agarbatti wagairah ke Dhue KO Jaanbujhkar Naak Ya Munh se Kheecha, Rozah toot Gaya.

20) Manjan Ya Toothpaste wagairah kar raha tha aur uske kuch Ajza Halaq se neeche utar Gaye Rozah toot Gaya.

21) Inhaler (Jo ke Dama ke Mariz Aksar Istamaal karte hain) Roze ki haalat Mein Istamaal kiya Rozah toot Gaya. Isi Tarah Sardi Ke Inhaler Se Bhi Rozah toot Jaayega.

22) Sheenk Aane ke liye Naak Mein Sufoof (Powder) Rakhkar upar KO Saans Kheechne se Rozah toot Jaayega.

Roze ke makhroohat ke bayaan:


Hadees- hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T'aala anhu se Riwayat hai k Rasoolullah sallallaahu t'aala alaihi wasallam ne farmaya " JO BOORI BAAT KeHNa AUR USPAR AMAL KARNa NAHIN ChhOdhE TO ALLAH T'aala Ko Uski Kuch Haajat Nahin K Usne Khaana Peena Chhodh Diya Hai." (BUKHARI, TIRMIZI SHARIF)

Hadees: HAZRAT ABU HURAIRAH Radiyallahu t'aala anhu se Riwayat Hai k Rasoolullah sallallaahu t'aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad farmaya "rozah Uska naam Nahin k khaane peene se baaz Rehna ho rozah to ye hai k bekaar aur behooda baaton se bacha jaaye (haakim)

1) Jhoot, Geebat, Chugli, Gaali Dena Behooda baat Kisi KO takleef Dena k ye cheezein waise bhi Na jaayez -o-haraam hain roze Mein aur zyaada haraam. Aur inki wajah se roze Mein karahat Aati hai

2) Rozahdar KO bila uzr Kisi cheez ka chakhna ya chabana makrooh hai.

3) chakhne ke liye uzr ye hai k maslan Kisi aurat ka shouhar bad mijaaz hai k namak kam WA zyaada hoga to naaraaz hoga to iss wajah se chakhne Mein harj Nahin.

4) chakhne ke WO maana Nahin k Jo aaj kal aam rivaaj hai yaani Kisi cheez ka mazah maloom karne ke liye Usme se thoda kha Lena k Yu to karahat kaisi Rozah hi toot jaayega. Balki kaffara ke sharait Paaye jaayen to kaffara bhi LazIm hoga.

5) chakhne se muraAd ye hai k zubaan par rakhkar Mazah maloom Karle aur use thook de USS Me se Halaq Mein Kuch Na Jaana Paaye Warna Rozah Toot jaayega

6) T.V dekhna,Cricket, Badminton, mobile aur computer game ,carom, football, volley ball, chess, hockey ,tennis,card, ludo,wagairah khelna aur dino Mein bhi Na jaayez-o-gunaah hai ramzaan sharif Mein aur sakht gunaah aur isse Rozah Bhi makhrooh hota hai.

7) Gulaab ya itr wagairah sunghna daadhi, mooch Mein tel lagaana aur surma lagaana makhrooh Nahin.

8) Roze Mein miswaak karna makhrooh Nahin balki jaise aur dino Mein sunnat hai roze Meiin bhi sunnat hai.

9) Roze Mein manjan, toothpaste, wagairah ka istemal makhrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to Rozah toot Gaya.

10) Rozahdar ke liye kulli karne aur naak Mein paani charhaane Mein mubaalga karna makrooh hai. Mubaalga karne ke ye matlab hai k bhar munh paani le

11) Thandak pahunchaane ke liye kulli karna ya gusl karne makhrooh Nahin

12) Munh Mein thook ikattha karke nigal jaana makhrooh hai

0 comments:

Post a Comment