22 Jun 2014

- Mahe Ramzan Aur Roze Ke Mutaliq Chang Zarori Batain

Assalatu was salamu alaika ya Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam

Maahe Ramzaan ko sirf Ramzaan na kahe: Ulama-e-Ahle Sunnath farmathe hai ke Maahe Ramzaan ko sirf Ramzaan na kahe kyun ke Ramzaan Allaah azzawajal ka Ek naam hai. Aur Baaz loog youn kahete hai ke Ramzaan aaraha hai, Ramzaan aaya hai…iss tarah na kahe balke youn kahe Maahe Ramzaan aaraha hai, Maahe Ramzaan aaya hai.

Masjid me khana, peena aur soona manaa hai: Mere pyare Aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ke pyare dewano, Masjid me khana peena ya soona mana hai aur yahan tak bhi bataya gaya hai ke gunah-e-azeem hai, magar aaj hum ye dekhte hai ke Maahe Ramzaan me iftiyaar karne keliye khaate hai ya paani peete hai, toh aub kya kare ?

Mere pyare Aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ke pyare dewano, iss se bachne keliye behtareen tarikha ye hai ke Ehtekaaf ki niyyath karle, jab hum Ehtekaaf ki niyyath karlenge toh zarurath padhne par kha bhi sakhte hai ya paani pee bhi sakhte hai ya soo(sleep) sakhte hai,

aur pyare Aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ka farmaan ka maffum hai ke "Jo banda masjid me daakhil hokar Ehtekaaf ki niyyath karega uske naamaye aamaal me Allaah(azzawajal) har saans ke badle me 10 nekiyan ataa farmayega,10 gunah maaf farmayega aur Jannat me darjaath buland farmayega.”

Ehtekaaf ki niyyath: “ Nawayatu sunnatal Ehtekaaf
Roze ke haalath me ye kaam kar sakhte hai
  Roze ke haalath me:
1)  Katting kara sakhte hai,
2)  Munche pasth(chote) taraash sakhte hai,
3)  Zere naaf ke niche ke baalon ko nikaal sakhte hai,
4)  Naakhoon taraash sakhte hai,
5)  Surma lagaa sakhte hai,
6)  Itar lagaa sakhte hai,
7)  Miswaak kar sakhte hai,
8)  Gusl kar sakhte hai,

Note: Kulli karte waqt garara na kare kyun ki paani halak ke andar jane ka andesha hai aur paani halak ke neeche chalagaya toh hamaara roza toot
jaata hai aur wahi wuzu me bhi hai yaani roze ke haalath me wuzu ya gusl karte
waqt garara na kare.

Jaisa ke aaj mushur hai ke roze ke haalath me katting nahi kara sakhte hai ya karana ho toh 12 baje ke andar kara na hai, aisi koyi baath nahi hai roze ke haalath me upar bataye gaye kaam kar sakhte hai.

0 comments:

Post a Comment