22 Jun 2014

- Roze Rakhne Ki Fazilat



Assalatu was salamu alaika ya Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam

  Roze rakhne ki fazilath:

·  Hazrat Abu Huraira Raradiallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke rasool-e-aazam Swallallaahu alaihi wa sallam  ne irshaad farmaaya “qasam hai uss zaat ki jis ke qabzay-e-qudrat mein meri jaan hai, rozedaar ke muh ki boo allaah ki nazdeek mushk se ziyaada behtar hai”.

·   Hazrat Abu Huraira Radiallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke rasool-e-aazam Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “Allaah ta’ala irshaad farmaata hai “Roze mere liye hai aur mai hi unka badla doonga aur dusri nekiyoun ka ajar 10 gunah kardunga”.

·   Hazrat Ka’ab Radiallaahu ta’ala anhu farmaate hai ke “Jo shaks ramzaan sharif ke roze poore kare aur uski niyyat ye bhi ho ke ramzaan ke baad bhi gunahoon se bachta rahoonga wo bagair hisaab kitaab aur bagair sawaal jawaab ke jannat me daakhil hoga

·   Nabiy-e-kareem Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya agar allaah ta’ala ke bande ramzaan ki fazilat jaan lein toh meri ummat tamaam saal roze se rehne ki khwaahish mand hoti.

·  Hazrat-e-Abu Sa’eed Khudri Radiallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai woh kehte hai ke Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaya “Jo shaks bhi ek din allaah azzawajal ki raah mein roza rakhega allaah ta’ala jahannam ki aag ko uske chehre se sattar saal ki musaafat tak door rakhega.

·     Hazrat-e-Abu Huraira Radiallaahu ta’ala Anhu se riwaayat hai ke Rasoolallah Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshad farmaaya “Jihad karo maal ghanimat pawoge aur roza rakho sehatmand ho jawoge aur safar karo maaldar ho jaawoge.

·    Hazrat Abu Huraira Radiallaahu ta’ala Anhu se riwaayat hai ke rasool-e-azam Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “Rozedaar ke liye 2 khushiyaan hai, 1) Jab woh iftaar karta hai toh khush hota hai, 2) Jab woh apne rab se mulaqaat karta hai toh khush hota hai.

·     Nabi-e-Kareem Swallallaahu alaihi wa sallam irshaad farmaaya ke jisne teen cheezon ki hifaazat ki woh yaqeenan allaah azzawjal ka dost hai aur jo in 3nou ko zaaya kar deta hai yaqeen jaano ke woh allaah azzawajal ka dushman hai woh teen(3) cheezain ye hai 1) Roza, 2) Namaaz, 3) Gusl-e-janaabat.


0 comments:

Post a Comment