22 Jun 2014

- Sehri Ka Taruf (Meaning), Ahmiyat, Fazilat

Sahari ka taaruf: Sahar ka maana hai Pushidgi, Jadu, Phepade. inko iss liye sahar kehetein hai ke woh chupe hote hai. Subho Saadiq ko bhi Sahar kehene ki yahi wajeh hai ke uss waqt ki roshani raath ke taariki me chupi hoti  hai.

Sahar  ke waqt ki Ahmiyat: Quran me Allaah azzawajal irshaad farmaata hai “Aur pichle peher maafi magne waale”, Baaz mufassareen ne farmaaya iss aayat se Namaz-e-Tahajjud padhne waale muraad hai aur baaz ke nazdiq usse woh loog muraad hai jo subho uth kar istagfaar padhte.

Sahar ke waqt Toba aur istagfaar karna Allaah azzawajal ke barguzida bandon ki adat-e-karima hai.

Toba aur dua ki qubuliyat ke waqt: Pyare Aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya “Allaah azzawajal raath  ke akhiri tihayi hisse mein aasmaane duniya ki taraf mutawajjeh hota hai aur farmaata hai  “Hai koyi magne waala jisko mai ataa karon, hai koyi dua karne waala jiski dua qubul karon, hai koyi bakshish talab karne waala jise mai bakshdon , Hatta ke subho hojaati hai.

Sahari ka waqt kab hota hai: Hazrat-e-Allaama Mullaah Ali Qari Alai rahma tu wa ridwaan farmaate hai “Sahari ka waqt aadhi raath se shuru hojaata hai.”

Sahari me taakhir karna Afzal hai: Pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ka farmaan ka maffum hai ke “ 3 cheezon ko Allaah azzawajal meheboob rakhta hai,
1: Iftaar mein jaldi karna
2: Sahari mein taakhir karna
3: Namaaz (Qiyaam) mein haath mein haath rakhna

Sahari mein taakhir ke muraad raath ka chata(6) hissa hai, raath ka 6 hissa maalum karne ka tarikha ye hai ke, Gurube aaftaab se lekar  subho saadiq tak raath kehelati hai, maslan kisi din 7 baje shaam ko suraj gurub huwa aur phir 4 baje subho saadiq huyi, iss tarah gurube aaftaab se lekar subho saadiq tak 9 ghante  ka waqfa  guzra woh raath kehelati hai, aub raath ke in 9 ghanton ke baraabar 6 hisse kardiye jaaye, toh har hissa deyed(1.5 hours) huwa. Aub raath ke aakhiri deyed ghanton ke dauran jab bhi sahari kare, Insha-Allaah azzawajal taakhir ka sawaab miljayega, Magar sahari mein itni taakhir bhi na kare ke subho saadiq ka shak hone lage.

Sahari karna sunnat hai: Pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ham gulamon ki khaatir sahari farmaya karte the taake muhabbat waale gulam apne mohsine Aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ki sunnat samajh kar sahari karliya kare youn unhe din ke waqt  roze mein quwwat ke saath saath sunnat par amal karne ka sawaab bhi milega.

Baaz islaami bhaiyoun ko youn dekha gaya ke kabhi sahari karne se rehe jaate hai toh fakhriya batein banaate hai aur youn kehete sunaayi dete hai “Hamne toh sahari ke bagair hi roza rakhliya hai”, Pyare islami bhaiyoun sahari ke bagair roza rakhna koyi kamaal toh nahi jiss par fakhr kiya jaaraha hai balke sahari ki sunnat chutne par malaal hona chahiye afsoos karna chahiye ke Pyare aaqa Swallallaahu alaihi wa sallam ki ek azeem sunnat chutgayi.

Fazilat-e-Sahari:
Sarkar-e-madina Swallallaahu alaihi wa sallam ka farmaan ka maffum:

1)   Hamaare aur ahle kitaab ke darmiyan sahari karne ka faraq hai.

2)   Allaah azzawajal aur uske farishte sahari karne waalon par rahemat naazil farmaate hai.

3)   Teen(3) Aadmi jitna bhi khaale unse koyi hisaab na hoga bashart ke khana halaal ho;
1.   Rozedasr ki iftaar ke waqt,
2.   Sahari khane wasle,
3.   Mujahid jo Allaah azzawajal ke raah mein sarhade islaam ki hifaazat kare.

4)   Sahari khaya karon kyun ke sahari khaane mein har luqme ke badle 60 baras ka sawaab milta hai

Sahari ka tofa:
1.   Sahari karte waqt kasrat se Ya waasi a’l magfirah(Aye usat ke saath bakshne waale) ka vird rakhkho iske padhne waale ke saare gunah maaf hojayenge.
2.   Sahari ke waqt 7 baar ye duwa padle toh usse Allaah azzawajal jitne sitaare hai, unn ek ek sitaaron ke badle ek ek hazaar(1000) nekiyan deta hai, utne hi gunah mita taa hai aur usi qadar uske darjaat buland farmaata hai.
                  
Laa ilaaha illallaahul hayyul qaiyumul kayimon Ala kulli  nafsim bimaa kasabat

Kya roze ke liye sahari shart hai: Kisi ko ye galat fahemi na hojaaye ke sahari roze ki liye shart hai, aisa nahi hai, sahari ke bagair bhi roza ho sakhta hai. Magar jaan bhujh kar sahari na karna ye munasib nahi hai ke ye ek azeem sunnat se meherum hai aur ye bhi yaad rakhe ke sahari mein khoob dat kar khaane ki koyi zaruri nahi chand khajure aur paani hi agar ye ba sunnate sahari istemaal karle jab bhi kaafi hai balke khajur aur paani se toh sahari karna sunnat hai.

Azsane fajr namaaz ke liye hai, Na ke roza band karne ke liye: Agar koyi shaks azaan dete waqt khaye piye toh uska roza nahi huwa kyun ke azaan subho saadiq mein diyi jaati hai aur sahari subho saadiq se pehle pehle karlena chahiye.

Baaz loog azaan tak khaate peete hai, Ye galat hai aur unka roza hi nahi huwa, kyun ke azaan subho saadiq ko hoti hai aur hame roza subho saadiq se pehle pehle khatam karna chahiye aur koyi subho saadiq ko khaye peeye toh uska roza hi nahi huwa.

0 comments:

Post a Comment