Lailatul qadr ka taaruf: Ise Lailatul qadr iss liye kehete hai
ke iss raath mein saal bhar ke ehkaam nafiz kiye jaate hai yaani farishte
registaron mein ayinda saal hone waale mu’aamalaath likhte hai.
Lailatul qadr ki ahmiyat:
1)
Lailatul qadr ki raath Hazrat-e-Isa
Ruh-ullaah Alaihissalam aasmaan par uthaye gaye.
2)
Isi shab farishton ki paidayish huyi.
3)
Isi raath Hazrat-e-Aadam Alaihissalam
ki takhliq ka saamaan jama hona shuru huwa.
4)
Jannat mein darakht bhi isi raath lagaayi gaye.
5) Laitatul qadr ke mutaaliq Qur’aan
me Rab azzawajal irshaad farmaata hai. - Tarjuma: Beshak humne iss shab-e-qadr
mein utaaraa aur tumne jaanaa kiya shab-e-qadr 1000 mahino se behtar hai iss mein
farishte aur Jibrayeel Alaihissalam utarte hai, apne Rab azzawajal ke hukm se,
Har kaam ke liye woh salaamati hai subho chamakne tak.
Pyare islaami
bhaiyoun aur beheno shab-e-Qadr kis qadar aham raath hai ke iss ki shaan mubaarak
mein Allaah azzawajal ne poori ek surat naazil farmaayi. SHAB-E-QADR ke fazaail mein surah-e-qadr naazil huyi,
Allah Ta’ala ne isi shab mein Qur’aan-e-haqim Ek baar hi lauhe mehfooz se
aasmaane duniya ki taraf naazil farmaya.
6) Tamaam bhalayiyoun se meherum koun: Hazrat-e-Sayyidina Anas Bin Maalik Radiallaahu
ta’ala anhu farmaate hai ke ek baar jab maahe ramzaan tashrif laayaa toh
Sarkar-e-Madina Swallallaahu alaihi wa sallam ne farmaaya ke tumhare paas ek mahina
aaya hai jisme ek raath aisi bhi hai jo
1000 mahino se afzal hai jo shaks uss raath se meherum rahegaya goya
tamaam ki tamaam bhalayi youn se meherum rahegaya aur uss ki bhalaayi se meherum
nahi rahetaa magar woh shaks jo haqiqatan meherum hi hai.
Ladaayi ka wabaal: Hazrat-e-Sayidina Ubaadah Radiallaahu
ta’ala anhu se riwaayat hai ke Sarkar-e-Madina Swallallaahu
alaihi wa sallam
baahar tashrif laaye taake hum ko shab-e-qadr bataaye ke kis raath hai, do(2)
musalmaan apas mein jhagad rahete. Aap Swallallaahu
alaihi wa sallam
ne irshaad farmaaya mai iss liye aaya tha ke tumhe shab-e-qadr batawon lekin
fulah fulah shaks jhagad rahete iss liye iss ka ta’ayyan utha liya gaya aur
mumkin hai ke isi mein tumhaari behtari ho. Aub iss ko aakhiri ashre ki 9vi,
7vi, 5vi raaton mein dhundo.
Alaamatein Shab-e-qadr:
1: Aakhiri
ashre ki raaton mein hai yaani 21vi, 23vi, 25vi, 27vi, 29vi shab mein hai ya maahe
ramzaan ki akhiri shab mein hai toh jo koyi imaan ke saath ba niyat-e-sawaab iss
mubaarak raath mein ibaadat kare uske tamaam guzishta gunah baksh diye jaate
hai.
2: Ek alaamath
ye bhi hai ke woh mubaarak shab khuli huyi roshan aur bilkul saaf wa shaffaaf
hoti hai, iss mein na ziyaada garmi hoti hai na ziyada sardi balke ye raath
mutadil hoti hai goya ke iss mein chaand khula huwa hota hai iss poori raath mein
shayaateen ko aasmaan ke sitaare nahi maare jaate.
3: Ek aur alaamat
ye bhi hai ke iss raath guzarne ke baad jo subho aati hai uss mein suraj bagair
shuyein ke tulu hota hai aur woh aisa hota hai goya ke chaudvi ka chaand.
4: Samandar ka paani mitha hota hai: Hazrat-e-Ubaid ibne Imraan
Radiallaahu ta’ala anhu kaha ke mai ek raath ko buhare qulzum ke kinaare par
tha aur usi khare paani se wuzu karne laga. Jab maine woh paani chakkha toh shahed
se bhi ziyada mitha maalum huwa mujhe behad ta’ajjub huwa maine Hazrat-e-Usmaane
Gani Radiallaahu ta’ala anhu se isi baath ka zikr kiya toh unhone farmaaya aye
Ubeda Radiallaahu ta’ala anhu woh lailatul qadr hogi. Majeed farmaaya jis shaks
ne ye raath Allaah azzawajal ki yaad mein guzaari usne goya 1000 maah se bhi ziyada
arsa ibaadath ki aur Allaah azzawajal uss ke tamaam gunahoon ko maaf farmaadega.
Fazilate Shab-e-qadr: Iss shab
mein ibaadat karna hazaar mahinon ke ibaadat se behtar hai iss shab mein Hazrat
Jibrayeel Alaihissalam aur
beshumaar farishte duniya ki taraf utarte hai aur jo loog ibaadat wa riyaazat
mein mashgool rehte hai unhe salaam paish karte hai aur unke liye istigfaar
karte hai aur ye farishte subho saadiq tak rehte hai.
1) Jisne
shab-e-qadr mein 3 martaba poora kalima-e-Tayyaba yaani Laa Ilaaha
Illallaahu Muhammadur Rasoollullaah Swallallaahu alaihi wa sallam
padha toh; Peheli
martaba padhne se Allaah azzawajal uski magfirat farmaadeta hai aur Dusri martaba padhne se Allaah azzawajal jahannam se aazaad
farmadeta hai aur Teesri martaba padhne se
Daahkhile jannat farmaata hai.
2) Jisne shab-e-qadr mein qiyaam kiya sawaab
ki niyyat se Allaah azzawajal uske agle pichle tamaam gunah baksh dega.
3)
Jo maahe ramzaan ki 27vi shab mein
gusl kare namaz ki niyyat se, Allaah azzawajal uske tamaam gunah bakshdega
pawon dhoone se pehle.
4)
Jo maahe ramzaan ki 27vi raath ko
zinda rakhega Allaah azzawajal uske liye 27,000 saal ka sawaab likhta hai aur
Allaah azzawajal uske liye jannat mein ghar banaata hai jin ki tadaad Allaah azzawajal
hi janta hai.
5)
Agar tum chahate ho ke tumhaari qabar
noor se roshan ho toh shab-e-qadr mein
ibaadath karo.
6)
Jisne shab-e-qadr ko paaya Allaah
azzawajal uss par doozakh ki aag haraam farmadega.
7)
Shab-e-qadr ka tofa: Maula-e-kaayinaat Hazrat-e-Ali Radiallaahu
ta’ala anhu farmaata hai “Jo koyi shab-e-qadr mein sura-e-qadr 7 baar padhta
hai Allaah azzawajal usse har balaa se mehfuz farmadeta hai aur 70,000 farishte
uske liye jannat ki dua karte hai aur jo koyi(jab kabi bhi) juma ke roz namaaz-e-
juma se qabl 3 baar sura-e-qadr padhta hai Allaah azzawjal usse uss roz ke
tamaam namaaz padhne waalon ki taadaad ke baraabar nekiyan likhte hai.
8) Shab-e-qadr ki dua: Hazrat-e-Sayyidituna Ayesha Siddiqa Radiallaahu
ta’ala anhaa farmaate hai mein ne apne Sartaj sarkar-e-madina Swallallaahu
alaihi wa sallam ki khidmate babarkat mein arz kiya Ya Rasoollallaah Swallallaahu
alaihi wa sallam agar mujhe shab-e-qadr ka ilm hojaaye toh kya padhon ? toh Sarkar-e-madina
Swallallaahu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya iss tarah dua mango.
“Allaahumma innaka Afuwwun tu hibbul Afwa fa^a fu annii”
Tarjuma: Aye Allaah azzawajal beshak tu maaf
farmaane waala hai aur maafi dene ko pasand bhi karta hai lihaaza mujhe bhi
maaf farmaade.
Pyare islami
bhaiyoun rozaana kam-az-kam ek baar ye dua padliya kare kyun kabi toh shab-e-qadr
naseeb ho jayegi warna kam-az-kam 27vi shab ko iss dua ko padhle.
Shab-e-qadr ke nawaafil: Hazrat Sayyedina Ismayil Haqqi Radiallaahu ta’ala
anhu tafsir Ruhul bayaan mein ye riwaayat nakal karte hai ke jo shab-e-qadr mein
ikhlase niyyat se nawafil padhega uske agle pichle sab gunah maaf hojayenge.
Jo koyi shab-e-qadr
mein 2 rakaath namaaz padhe har rakaat mein Sura-e-fatiha ke baad, 7 baar
Sura-e-ikhlaas padhe aur salaam pherne ke baad 70 martaba Astagfirullaaha wa atubu
ialaih padhe toh apni jagah se uthne se pehle Allaah azzawjal usko aur uske walidain ko bakhsh deta hai.
Iss shab ki fazilat mein ahadees bahot hai yaha kuch zikr ki
jaati hai
1) Hazrat Abu
Hurairah Radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke Huzur-e- Aqdas Swallallaahu alaihi wa
sallam ne irshaad farmaaya ramzaan mein
1 raath aisi hai jo hazaar maheeno se behtar hai jo iski bhalaiyo se mehrum
raha woh beshak mehrum hai.
2) Hazrat Anas
Radiyallahu ta’ala anhu se riwaayat hai kehte hai ramzaan aaya toh Huzur-e-Aqdas
Swallallaahu alaihi wa sallam ne
irshaad farmaya ye maheena aaya iss mein 1 raath hazaar maheeno se behtar hai
jo isse mehrum raha woh har cheez se mehrum raha aur uske khair(bhalai) se wahi
mehrum hoga jo poora mehrum hai. (IBNE MAJAH)
3) Hazrat Salmaan
Farsi Radiyallaahu ta’ala anhu se riwaayat hai Huzur-e-Aqdas Swallallaahu alaihi wa
sallam ne farmaaya aye loogon! Tumhaare
paas azmat waala barkat waala maheena aaya woh maheena jisme 1 raath hazaar
maheeno se behtar hai. (BAIHAQI)
4) Hazrat Abu
Hurairah Radiyallahu ta’ala anhu se riwaayat hai ke huzur-e- Aqdas Swallallaahu alaihi wa
sallam ne irshaad farmaaya jo imaan ki
wajah se aur sawaab ke liye shab-e-qadr mein ibaadat karega uske agle gunaah
bakhsh diye jaayenge. (BUKHARI, MUSLIM)
Lijhaaza iss raath mein ziyaada se ziyaada
ibaadat karni chaahiye, ye raath bahut buzurgi aur fazeelath wali hai iska har
har lamha ibaadat mein guzaarna chaahiye.
Iss raath ko idhar udhar ghoom kar behuda baaton
mein guzaar dena sakht mehrumi hai.
Baaz loog aisi raaton mein raath ke aakhir hisse
tak jaagte hai phir soo jaate hai aur din mein uthte hai, iss tarah unki fajr
ki namaaz qaza ho jaati hai jo ke jaayiz nahi.
Jin loogo ko fajr mein bedaar hone ka yaqeen na ho unko aise waqt mein
soona hi mana hai aise loogo ko chaahiye ke isha ki namaaz jama’at se padhkar soo
jaaye aur fajr ki namaaz jama’at se padhe ke hadees sharif mein hai ke Huzur-e-Akram
Swallallaahu alaihi wa sallam ne
irshaad farmaya jisne ba jama’at isha ki namaaz padhi goya aadhi raat qayaam(ibaadat)
kiya aur jisne fajr ki namaaz jama’at se padhi goya poori raath qayaam(ibaadat)
kiya (MUSLIM SHARIF) iss tarah
unko raath bhar ibaadat karne ka sawaab mil jaayega aur fajr ki namaaz qaza na
hogi.
Iss raath mein qasrat se nawafil padhe aur agar
zindagi me qaza namaaze ho toh behtar ye hai ke nawaafil ki jagah qaza namaaze
padhe aur taakhir se adaa karne ke apne rab se maafi maange.
Aala Hazrat azeemul barkat Imam Ahmed Raza Faazile Bareilvi
Radiyallaahu ta’ala anhu irshaad farmaate hai qaza har roz ki namaaz faqat 20
rakaton ki hoti hai 2 fajr ki, 4 zohar ki, 4 asr ki, 3 magrib , 4 isha, 3
vitr, agar waqte baalig na malum
ho toh iske liye mard 12 baras aur aurat 9 baras ki umr se namaaz ka aisa
hisaab lagaaye ke takhmeena mein
baaqi na rahe jaaye. ziyaada ho jaaye toh harj nahi aur wo sab baqadre taaqat
rafta rafta jald adaa karein kaaheeli na karein.
Jab tak farz zimaa rehta hai koi nafl qubool nahi
kiya jaata, niyyat unn namaazo ki iss tarah ho maslan 100 baar ki fajr ki qaza
hai to har baar yu kahe ki sab se pehli jo fajr mujhse qaza huyi har dafa yehi
kahe yaani 1 adaa huyi to baakiyon mein jo sabse pehli hai isi tarah zohar
wagairah har namaaz mein niyyat kare.
Jis par bahut si namaaze qaza ho uske liye takhfeef
ki surat ye hai ke
1) Farz ki teesri chouthi rakaaton mein
surah-e-fateha ki tilaawat ki jagah 3 baar subhanallah kehkar ruku mein jaaye.
2) Neiz tasbeehaate ruku aur sujood
mein sirf 1 baar Subhana Rabbiyal Azeem aur Subhana Rabbiyal Aa’la padhlena
kaafi hai. (yaad rahe ye tasbeehaat ruku mein jaane ke baad aur uthne se pehle
adaa kare)
3) Tashahhud ke baad dono durood sharif aur dua ke
bajaaye Allahumma salle alaa sayyedina Muhammadiw
wa aalihi keh kar salaam pheir de.
4) Vitro mein bajaaye qunoot ke 3 baar Rabbig Phirli kehna kaafi hai.
Tuloo, gurub wa zawaal ke alaawa qaza namaaze har
waqt adaa ki ja sakti hai. (Fatawa-e-Razviya jild 3, safa no 621-622) Allaah ta’ala hum sab loogo ko
iss raath ki ehtaraam ki taufeeq ataa farmaaye.