Wazu ki Fazilath:
1) Wazu me jo Aza dhute hai us Aza ke gunah girjate
hai aur woh Aza Qiyamat ke rooz Suraj se Zyada chamkega.
2) Bawazu Sonewala Roze Rakhkar Ibadath Karne Wale ki
Tarha hai.
3) Bawazu Marne wala Shahid hai.
4) Allaah azzawajal Ne Hazrat-e-Musa (Alaissalam) se
farmaya “Aye Musa (Alaissalam) Agar
bewazu hone ki surat me tujhe koyi musibath pahunche
to khud apne aap ko malamath karna.
5) Ala Hazrath Imam Ahmed Raza (Alairahma tu wa
ridwan) farmate hai “ Jo Hamesha bawazu
rahe, Allaah azzawajal usko 7 fazilaton se musharraf
fermata hai
1) Malayika uske suhabath me regabath kare
2)
Kalam uske Nekiyan likhta raheta hai
3) Uske Aza tasbi karte hai
4) Usse takbire ula faut na hogi
5) Jab soye, Allaah azzawajal kuch farishte bhejkar
jin-o-nafs ke shar se uski hifazath
karta hai
6) Sakhrat ke waqt mout usper Asan hoti hai
7) Jab tak bawazu Rehega Aman-e-Ilahi me rahega
Wazu
ke farayiz:
Wazu me 4 farz hai
- Chehera Dhona: chehera yahantak dhona ke,apne balo ki ibteda se leker thuddi ke niche tak aur ek kan ke lov(corner) se leker dusre kan ke lov tak
- Apne donu haton ko koniyoun sameth dhona
- Chauthayi sarka masa karna
- Apne donu pairon ko takhno sameth dhona
Farz use kehete hai
jiska karna zarori hai aur uske bagair wazu mukammil hi nahi hota,isiliye jab
aap wazu karte hai to zyada ahtiyath rakhkhe ke jo hisse(parts) wazu me dhona
farz hai use achchi tarikhe se dhole warna wazu nahi hoga aur jab wazu hi nahi
howa to namaz bhi nahi hogi.
Wazu
Ki Niyath:
"Bismillaahi
wal hamdu lillaahi Ata wadda'woo lirafayil hadas"
yun to wazu ki niyatain
buhat sari hai, usme se ek ye bhi hai. Apko jo ati hai woh padle magar wazu ki
niyath karne se pehle "Bismillaahi wal
hamdu lillaahi " kheliya kare kyun ki
Pyare
Aqa (swallallaahu alai hi wa sallam) ka farman ka mafum hai "jo shaks wazu shuru karne se
pehle Bismillaahi wal humdu lillaahi" kahega to Allaah azzawajal,use jab
tak uska wazu bhakhi rahega tab tak uske namaye amal me pal pal nekiya ata
farmayega chahe woh kuch ibaadat kare ya na kare"
dekhiye sirf thudi si
tawazzu deker agar hum wazu ki niyat karne se pehle " Bismillaahi wal hamdu lillaahi" kahe
to hamare namaye amaal me bhahut sare nekiya milenge
Wazu
karte waqt padne wali cheezien:
1:Laailaaha illallaaha
Fazilath:
"Jo koyi Wazu
karte waqt ye kalmia padega, Allaah azzawajal Wazu ke her qatre ke badle me ek
farishta paida karega, Jo qiyamat tak
Kalima padega, Uska sawab us shaks ko milega”
2:Daraood sharif (Swallallaahu alai hi wa sallam)
Fazilath:
"jo ek martaba
Darood sharif padega use ek lakh 60 hazar haj ka sawab milega"
3:Ya Qadiro
Fazilath:
"Jo wazu karte
waqt Ya Qadiro kahega, Uska dushma use iza nahi pahuncha sakhega"
isililye jab wazu ki
niyath karlene ke bad se leker, in cheezon ko is tarteeb se pade,
Laailaha
illallaah,Swalallaahu alai hi wa sallam,Ya Qadiru
Laailaha
illallaah,Swalallaahu alai hi wa sallam,Ya Qadiru,
……...
tab tak pade ke jab
tak apka wazu khatam na hojaye.
Wazu
ke sunnate:
1: Niyyath karna
2: Tasmiya
(Bismillaah) padh kar shuru karna
3: Dono haatho ko
gatton tak teen baar dhona
4: Miswak karna
5: Dahine haath se
teen baar kulli karna
6: Dahine haath se
teen baar naak saaf karna
7: Daadi ka qilaal
karna
8: Haath paawon ki
ungliya ka qilaal karna
9: Har Aazu ko teen
teen baar dhona
10:Poore sar ka ek
baar masah karna
11: Kaano ka masah
karna
12: Tarteeb se wazu
karna
13: Daadi ke jo baal
muh ke dayare ke neeche hai unka masah karna
14: Aaza ko paidar
pai dhona (Yani ek aza sukhne se phele dusra aza dhuna)
15: Har makruh baat
se bachna.
Wazu
ke makruhat:
1: Aurat ke gusl ya
wazu ke bache huwe paani se wazu karna,
2: wazu ke liye najis
jagah baithna,
3: Najis jagah wazu
ka paani girana,
4: Masjid ke andar
wazu karna,
5: Wazu ka aaza
se(Wazu karna) Bartan me khatre tapkana,
6: Paani me reenth ya
khankaar dalna,
7: Qible ke taraf
thook ya khankar daalna ya kulli karna,
8: Be zarurat duniyaa
ki baate karna,
9: Zarurat se ziyada
paani kharch karna,
10: Paani iss qadar
kam kharch karna ki sunnat ada na ho,
11: Muh par paani
maarna,
12: Muh par paani daalte
waqt phunkna,
13: Sirf ek haath se
muh dhona,
14: Gale ka masah
karna,
15: Baaye haath se
kulli karna ya naak me paani dalna,
16: Dahine haath se
naak saaf karna,
17: Apne liye koi
lota wagaira khaas kar lena,
18: Teen naye
paaniyoun se teen baar sar ka masah karna
19: Jis kapde se
istinja ka paani khushk kiya ho usse aazaaye wazu pochna,
20: Dhoop ke garm
pani se wazu karna,
21: kisi sunnat ko
chor dena.
Wazu
khatam hone ke baad padne wali cheezain:
1: Kalma-e-Shahadath [1 martaba]: Ash’Hadu Allaah ilaaha
illallaahu wahdahoo laa shari kalahoo wa ashhadu anna muhammaden abduhoo wa
rasooluh.
Fazilath:
Jisne Achchi tarha se wazu kiya aur asmaan ke taraf nighaye utahi aur kalmaye
shahadath padha uske liye Jannath ke 8 darwaze khuldiye jate hai, Jis darwaze
se chahe us darwaze se ander dakhil hojaye
2: Sura-e-Ikhlas [1 Martaba]: Jisne Wazu khatam hone ke baad ek martaba sura-e-Ikhlas padega uske liye ek munadi nida deta hai, Ke Aye Rahmaan (azzawajal)
ki tarif karne wale ut aur Jannath me dakhil hoja.
2: Sura-e-Ikhlas [1 Martaba]: Jisne Wazu khatam hone ke baad ek martaba sura-e-Ikhlas padega uske liye ek munadi nida deta hai, Ke Aye Rahmaan (azzawajal)
ki tarif karne wale ut aur Jannath me dakhil hoja.
3: Sura-e-Qadar:
a: Jo
shaks ek martaba sura-e-Qadar padega, Allaah azzawajal uske 40 saal ke gunah
maaf farmadeta hai
b: Jo
shaks Asmaan ke taraf dekhkar ek martaba sura-e-Qadar padega thou uski nazar
kabi kamzoor nahi hogi
c: Jo
shaks 1 martaba sura-e-Qadar padega, woh siddiqeen me se hai aur jo shaks 2
martaba padega, woh shuhada me shumar kiya jayega, Jo shaks 3 martaba padega
use Allaah azzawajal maidane meheshar me use Apne Ambiya (Alaissalam) ke sath
rakhkhega
4:
Allaahummaj Alnee minat tawwaa binaa waj alnee minal muta tahhireen.
Tarjuma-e-Kanzul
imaan: Aye Allaah azzawajal Mujhe kasrat se tuba karne walon me banade aur
mujhe pakiza rakhne walon me shamil karde.
Wazu
ko Tudne Wali Cheezain:
1 1)
Pishab ya paikhana karne se
2) Piche ke makam se Hawa khariz hone se
3)
Khoon ya Peeb nikalkar Us jagah se behene se jo
wazu ya gusl me dhuna farz hai
a)
Zakham ka khoon itna puchliye ke agar na puchta to
bahajata to wazu tutjayega
b)
Gusht me injection lagane se sirf is surat me wazu
tutega jab ke behene ki miqdar me khoon nikle
c)
Glucose wagira ki drop nas me lagwane se wazu
tutjayega
d)
Sirinj (injection) ke zariye khoon test karne
keliye khoon nikalne se wazu tutjayega
e)
Munh se khoon nikalkar thukper galib hai to wazu
tutjayega. Thuk ka rang surkh hojaye to khoon galib samjajayega aur ye surkh
thuk napak bhi hai
f)
Khoon pishab ki tarha napak hai.
4) Muh bharkar Qai (ulti) hojane se
a)
Qai me khana ya pani ya safra (Kadwa pani) rehena
zarori hai, sirf balgam raha tho wazu nahi tutega
b)
Jo Qai takalloof ke bagair Na roki jasakhe use muh
bhar kar kehete hai
c)
Muh bhara Qai Pishab ki tarha na paak hai uske
chiton se bachna chahiye
5) Gafil hoker ya take lagakar sone se
6 6) Behosh hojane se
7)
Itna nasha chadjane se ke chalne me pawoon lad
khadaye
8 8) Pagal hojane se
9)
Dkhukh ti howi ankh se pani behene se
10) Namaz me khilkhila kar hasne se
a) Muskurana: Sirf labon ko jumbish dena jisme Awaz na nikle
a) Muskurana: Sirf labon ko jumbish dena jisme Awaz na nikle
b) Hasna: Apni Awaz khud sune
c) Khilkhilakar Hasna (Qaheqa): Apni Awaz dusron ko sunayide
d) Namaz
ki halath me sirf itni awaz se hasa ke khud suna to namaz tutgayi aur wazu baki
hai
e)
Namaz-e-Janaza me Qahiqa laga tho Namaz tutgayi, Wazu baki hai
f) Namaz
ke alawa qahiqa lagane se Wazu Nahi jata magar dubara karlena mustahab hai
g) Hadis
me hai Muskurana Allaah azzawajal ki taraf se hai aur Qahiqa Shaitwan ki taraf
se hai
h) Pyare
Aqa (Swallallaahu alaihi wa sallam) Ne kabi Qahiqa nahi lagaye.
Wazu
ka tarikha:
Wazu
shuru karne se phele wazu ki niyath karle: Jise wazu ki niyath Arabi me ati hai
woh Arabi me karle aur jise nahi ati hai woh sikhne ki koshish kare aur sikhne
tak tho woh apni zuban me karle aur apni zuban me istarha kare "Ya Allaah main wazu karta hoon paki hasil
karne ke liye" agar hum itna kahe to wazu ki niyath ho jayegi magar Arabi me karne
ki koshish kare kyun ki Arabi me niyath ya dusre duwayein karna woh bhi Pyare
Aqa swallallahu alai hi wa sallam ki sunnath hai
Niyath
karlene ke bad apne donu haton ko pahunche (Wrist) tak dholein: agar aap anghoti pehne hai tho ye khas
khayal rakkhen ke anghoti ko bhi harkat de,ta'aki anghoti ke peechewali
jo ungalika hissa hai woh bhi bhig jaye kyun ki uska bhi dhona farz hai aur us
hisse ko nahi bhigayenge tho hamara wazu nahi hoga aur wazu nahi hoga to hamari
namaz bhi nahi hogi kyun ke Pyare Aqa
swallallahu alai hi wasallam farmate hai ke "Wazu Namaz ki kunji hai aur namaz wazu ki
kunji hai"
Miswak
kare: Apne dono haton ko
pahuncho (Wrist) tak dhone ke bad 3 martaba
ß---------------- TODO: hyper Link for
miswak topic --------------------------->
Kulli
Karen: Garara ke sath kulli kare aur Roze ki halath mein ho tho garare ke sath na kare
balke sirf kulli kare,agar roze ke halath mein nahi hai tho garare ke sath hi
kulli kare kyun ki garare ke sath kulli karna ye bhi mere Pyare Aqa swallallahu
alai hi wa sallam ki pyari sunnath hai.
Naak
Saaf Karen: Apne naak ke naram
haddi tak 3 martaba pani chadaye aur uske bad naak saaf kare,naak saaf karne ka
tarikha ye hai ke apni bayen(left) haath ki kiri (choti) ungli le kar phele
naak ki dayen (Right) taraf saaf kare aur phir bayen(left) taraf apne naak saaf
karlen.
Chehra
Dhoyen: Chehra dhone ka
tarikha ye hai ke, phele ek martaba hateinliyon mein pani leker apni peshani ki
jagah se bhahaye aur achche tarikhe se mal lein(lagadle) phir 2 martaba aur usi
tarikhe se pani bhahaye aur achhi tarah chehra mal lein. jab ham chehera dhote
hai to ye ahtiyath rakhkhe ki abro bhi bhigna chayiye aur ankh ke palkhe aur
palkhon ke upar wala hissa her jaga bhigna chayiye warna hamara wazu nahi hoga
isiliye jab aap chehera dhote hai to achchi tarikhe se mal lein, aur chehera
dhone ke bad apne dadi(beard) ka khilal karen. Dadi ka khilal karne ka tarikha
ye hai ke phele apne aage ke janib pani bhahaye, phir daayen (right) janib aur
phir bayen(left) janib bhahaye aur pani bhahakar acchi tarikhe se lagadlein. Is
baat ka khas khayal rakhkhe ke dadi ke balon ki jad tak pani pahunche
Haath
Dhoyen: 3 martaba apne dono
hathon ko koniyoun sameth dhoye. Phele sidha(right) hath dhoye aur phir
bayen(left). Jab aap sidha(right) hath dhote hai to phele ek martaba pani
bhahaye aur apne hath ko acche tarikhe se ragadle(malle) aur phir 2 martaba
pani bhahaye aur phir usi tarha bayan hath dhoye,phele ek martaba pani bhahaker
acche tarikhe se apne hath ko ragadle,phir 2 martaba pani bhahaye,ye tha hathon
ko dhone ka tarikha,apne dono haton ko dhone ke bad pure sarka masa kare
Sar
ka Masa Karna: Pehle apne haton mein pani le lein aur apne dono haton ko teen
hisson mein baant lein.
Pehla hissa Kiri
(Choti) Ungali, beech wali ungali aur ungoothi wali ungali, in teen ungaliyon
ko ek hissen mein baant lein.
Dusra hissa
apni shahadath ki ungali
Teesra hissa apna
Ungootha.
Iske baad sar ka Masa
karen. pehle apne haton ke pehle hisse se (Teen Ungaliyon se) apne sar ke uper
ke hisse ko (Jahan se bal shuru hote hein) peeche tak mal lein. phir apni
hatheliyon se sar ke dono side ke balon ko peeche se lekar aage tak malein.
Uske baad Dusra hisse (Shahadath ki Ungali) se apne kanorn ke ander saaf karen.
Phir teesra Hisse(Anghootthe) se apne kaan ke uper masa karen aur akhir apne
hatheliyon ki peet se (back side of your Palm) gale ke pichle hisse ka masa
karen.
Pair
Dhoyen: Donu pairo ko takhno
sameth dhoye, phele sidha (right) pair dhoye aur phir bayan(left) pair dhoye.
Jab ap sidha(right) pair dhote hai tho pair ke ungaliyoun ka khilal is tarah
karen ke apni bayean(left) haath ki kiri(choti) ungli leker pair ki har ungli
ke darmiyan 3-3 bar khilal karen (Pair ki choti ungli(kiri ungli) se shuru
karte huea tarteeb se unghootthe per khatam karen). Aur usi tarha apna bayen(left)
pair ko bhi dhoye (Bayen pair ke anghootthe se shuru karte huea tarteeb se
choti ungli per khatam karen).Aur jab aap pair dhote hai to ye zyada ahtiyath
rakhkhe ke pair ke talwe ko bhi pani pahunchna chayiye aur agar apke pairon ki
yediyean phati hai (yani krack pade hoo) to achche tarha se ragad kar pani
bahaye agar waha pani nahi pahuncha tho hamara wazu qubul nahi haga. Aur jab
wazu hi qubul nahi hoga to hamari namaz bhi qubul nahi hogi.
Donu pair ko dholene
ke baad apne donu hathon ko pahunchotak dhoye aur qibla rookh hoker kalmaye
shahadath pade(2 kalma).
Chand Zarori Batain:
1)
Musta ‘Amal (Istemaal Shuda Na hoo): Agar Bewazu ka hath ya ungali ya pura nakhoon ya
badan ka koyi tukkada jo wazu me dhuya jata hoo, Jaan bhujkar ya bhool kar
Dahdardah se kam pani me padjaye tho pani Musta’Amal hojayega aur ab wazu ya
gusl ke layeq na raha.
a)
Musta’Amal Pani phir se istarha Amal me lay eke Paak
pani usme itna dale ke usme se pani bhahajaye
2)
Dahdardah: Woh
House Ya talab jiski kul lambayi aur chaudayi ka hasil zarab 100 hath hoo, woh
dhadardha kehelata hai. Agar gool hoto golayi takriban 35.5 hath hoo aur
gherayi itni kafi hook e itni sath me kahise zamin khuli nahoo
a)
Dahdardah me Najasath padne se pani napak na hoga jabtak ke najasath ke wajese Rang ya
Boo ya Maza na badal jaye
b)
Bade house me aisi najasath padi jo nazar na aye
jaise sharab, pishab to isme her taraf se wazu kar sakhte hai aur agar dekhne
me ayi jaise pakhana, murda janwar tho dusre taraf se wazu kare
3)
Namaz ke halath me donton me kuch atke rehene ke nuqsanath:
a)
Hadis sharif me hai “ Jab Banda Namaz me khada
hota hai tho farishta uske Muh per apna muh rakhta hai, ye jo padta hai iske
Muh se nikal kar farishte ke muh me jata hai us waqt agar khane ki koyi shai
iske daton me hoti hai tho malayika ko use aisi sakht izaa hoti hai ke aur shai
se nahi hoti.
b) Hadis sharif me hai farishton per isse zyada koyi
cheez gira nahi ke who apne sati ko namaz padta dekhe aur iske daton me khan
eke reze phase hoo
Wazu
ka shar’an Mazur: Kisi ko
istarha ka marz musalsal jari raha ke wazu ke sath Namaz farz ada na karsakhta
hoo use wazu ka shar’an mazur kaha jata hai.
a)
Ek wazu se us waqt me jitni namazain chahe pade
iska wazu us marz se nahi
tutega
b)
Farz namaz ka waqt jate hi mazoorka wazu jata
rahata hai agar uzur zahir na howa ya koyi hadas na howa hoo tho wazu na tutega
c)
Mazoor ke wazu is cheez se nahi jata jiske sabab
mazoor hai agar dusra koyi
cheez wazu tudne wali payigayi
to wazu jata raha
d)
Mazoor ko aisa uzoor hoke jiske sabab kapde napak
hoo jate hai tho agar dirhum se zyada napaak hogaye aur janta hai ke itnaa muqa
hai ke use dhukar paak kapde se namaz padlega tho pak karke namaz panda farz
hai aur agar janta hai ke namaz padte padte phir itna hi napaak hojayega tho ab
dhuna zarori nahi isi se pade agarch musalla bhi aludha hojaye tab bhi iski
namaz hojayege.
1)
Apna ya paraya ka sitar ya ghutna dekhne se wazu
nahi tuttha magar dekhne se parez kare kyun ke dekhna gunahhai
2)
Ek din ka doodh pite bachche ka pishab hi napak
hai
3)
Doodh pite bachche ne doodh daldiya aur who muh
bhar kar hai tho ye bi pishab ki tarha napaak hai
4)
Kutta jism chujane se wazu nahi tutta
5)
Kutte ka lu’aab napaak hai
6)
Khinzir ka naam lene se wazu nahi tutta
7)
Daurane wazu hawa khariz hogayi ya kisi sabab wazu
tut gaya tho naye se wazu kare aur agar hath me pani hoto us pani ko gira de
8)
Quran paak ya iski kisi ayath ko, kisi bhi zuban
me, quran-e-pak ka tarjuma ho, usko bewazu chuna haramhai
9)
Ayath ko be chuye dekhkar ya zabani bewazu padne
me koyi haraj nahi
10) Wazu ka
bacha howa pani khade hoker, qibla rukh hoker piye, isme shifa hai
11) Aainak
(mirror) dekhne se wazu nahi tutta
12) Ghar me
jhadu lagane se wazu nahi tutta
Reference: Kanoon-e-Shariat, Risala (Wazu ka tarika),
Faizan-e-Sunnat (Old edition)
1 comments:
Salam! here you can download Istinja ka Tariqa, a most authentic and renowned Islamic Book.
http://www.dislamicbooks.com/2015/10/download-istinja-ka-tariqa-by-maulana.html
Post a Comment