SAWAAL: Allah ta’ala ke baarey me kaise aqida rakhna
chahiye ?
JAWAAB: Allah ta’ala ek hai uska koi shareek nahi
aasmaan wa zameen aur saari maqluqath ka paida karne waala wahi hai. Wahi
Ibaadath ke layiq hai dusra koi Ibaadath ke layiq nahi hai. Wahi sabko rozi
deta hai. Ameeri gareebi aur izzath wa
zillath sab uske iqtiyaar me hai. Jise chahta hai izzath deta hai, aut jise chahta
hai zillath deta hai. Uska har kaam hikmath hai. Bandon ki samaj me aye ya na
aye wa har kamala wa qoobi waala hai. Jhoot, Daga, Qiyanath, Zulm, Zihal
wagairah har ayeb se paak hai. Uske liye kisi ayeb ka maan na kufr hai.
SAWAAL: Kya Allah ta’ala ko budhav kehna jayiz hai ?
JAWAAB: Allah ta’ala ki shaan me aisa lafz bolna kufr
hai.
SAWAAL: Baaz log kehte hai ki “Upar wala jaisa
chahega waisa hoga” aur kehte hai “Upar Allah hai neeche tum ho” ya iss tarah
kehte hai ki “Upar Allah neeche panch hai”.
JAWAAB: Ye sab jumle gumraahi ke hai, musalmaano ko
insey bachna nihayath zaruri hai.
0 comments:
Post a Comment