SAWAAL: Faishtey Kya cheez hai ?
Kuch Farishtey
Bandon ka achcha bura amal likhne par muqarar hai jinko KIRAAMAN KAATIBEEN kaha
jata hai.
Kuch Farishtey Qabr me murdon se sawaal karne par muqarar hai jinko
MUNKAR NAKEER kaha jata hai.
Aur kuch Farishtey Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam ke darbaar me musalmaano ke darood
wa salaam pahunchane par muqarar hai.
Unke alaawa aur bhi bahut se kaam hai
unme chaar Farishtey bahut mashoor hai,
1) Hazrath-E-JIBRAEEL Alaihissalaam
jo Allah ta’ala ke Ahekaam paigambaro tak pahunchate hai.
2) Hazrath-E-ISRAFEEL Alaihissalaam jo Qiyamat ke din soor Phunkenge.
3)Hazrath-E-MIKAEEL Alaihissalaam jo Paani barsane aur Rozi pahunchane par
muqarar hai.
4)Hazrath-E-IZRAEEL Alaihissalaam jo logon ki Jaan
nikaalne par muqarar hai.
Jo shaks yeh kahe Farishta koi cheez nahi ya yeh kahe
ki Farishta neki ki kuwwat ka naam hai too woh kaafir hai.
0 comments:
Post a Comment