Gusl farz hojane per fouran gusl na karne ke nuksanaath:
1) Hadeese
paak me aata hai “Farishte uss ghar me dakhil nahi hote jis ghar me Tasveer,
Kutta aur Junub (jiss per Gusl farz) ho.
2) Taajdare
Madina Swallallaahu ta’ala
alaihi wa swallam farmate hai “Jisne 3 cheezon ko
hifazath kiya usse Allah azzawajal apna dost rakhega aur jisne inn 3 cheezon ko
zaya kiya usse apna dushman rakhega, woh 3 cheezain ye hai.
1) Namaaz
2) Roza
3) Janabath-e-Gusl
yaani Gusl farz hone per fauran Gusl na karne wala.
3) Hadees:
“Paaki aadha imaan hai”.
4) Gusle
janabath me deir kardena gunah hai albatta itni taaqir haraam hai ke namaaz ka
waqt nikal jaye.
Bahare Shariyath me hai : “Jiss
par Gusl wajib hai how agar itni deir kar de ke namaaz ka aakhir waqt agaya toh
aub fauran nahana farz hai, aub taqhir karenge gunahgaar hojayenge.
Janabath ki haalath me sone ke ahakaam:
Hazrath Sayyidina Abu Salama Raziyallahu ta’ala anhu kehte hai: Ummul
Mu’amineen Hazrathe Sayyidituna Ayesha Siddiqa radiyallhu ta’ala anha se pucha
ke; nabiye rahamat, shafiye ummat, shahinshaye nabuwat, tajdare risalat
Swallallaahu ta’ala alaihi wa
swallam janabat ki haalath me sote the ?
Unhone bataya: “han, aur Wazu
farma letey the”. Raath me kabhi janabath hojathi hai, toh kya kiya jaye ?
Rasoolullah Swallallaahu ta’ala alaihi wa
swallam ne farmaya: Wazu karke aazue khaas ko dhookar sojaya karo.
Gusl farz hone ke 5 asbaab:
1) Mani ka
apni jageh se shehwat ke saath juda hokar maqhraj se nikalna. (Apne aap shehwat
ke sath mani nikalna[Mushtzani karna])
2) Ehtelaam
yaani sote me mani ka nikal jaana.
3) Biwi se
hambistari karne se, Dono par gusl farz hota hai. (Hashfa yaani sare
zakar(supari) ka aurath ke aage daqhil hojana qhwa shehwat ho ya na ho, inzaal
ho ya na ho dono par Gusl farz karta hai. Bashart ke dono mukhalaf ho aur agar
ek baalig hai toh uss baalig par farz hai aur nabaalig par agarche Gusl farz
nahi magar Gusl ka hukm diya jayega.
4) Haiz se
farig hona.
5) Nifaas (bachcha
janne par jo khoon aata hai) iss se faarig hona.
GUSL kab farz nahi hota hai
1) Mani
shehwat ke saath apni jageh se juda na huwi balke boojh uthane, ya bulandi se
girne, ya fuzlah khaarij karne keliye zoor lagne ki surath me khaarij huwi toh
Gusl farz nahi huwa, Wazu toot jayega.
2) Mani
patli padgayi aur pishaab ke waqt ya waise hi bila shehwat iske qatre nikal
aaye Guls farz na huwa Wazu toot jayega.
3) Agar
Ehtelaam hona yaad hai magar uska koyi najaasath kapde wagaira per nahi toh
gusl farz nahi.
4) Namaz
may shehwat thi, mani utarti huwi maalum huwi magar baahar nikalne se qabl hi
namaaz poori karli, aub khaarij huwi toh namaaz hogayi magar aub Gusl farz
hogaya.
5) Musht
zani ka kaam karna haraam hai, Hadeese paak me aisa karne wale ko maloon kaha
gaya hai.
Mushtzani [Handjob] Karna Gunah-e-Kabira hai
1) Musht
zani karne se mardana kamzoori paida hoti hai aur baarha dekha gaya hai ke bila
aakhir shaadi ke layiq nahi rehta.
2) Aalahazrath
alaihi rehmatu wa ridwan farmate hai: “Musht zani karne wale ki hateliyan
meheshar me haamilah utengi”.
3) Musht
zani se bachne ka tariqa ye hai ke, “Lahaul sharif ki kasrath kare”.
4) Namaaze
panjgana ke kasrath kare aur namaaze fajr ke baad Sura-e-Iqhlas ka vird rakhe.
Gusl ki Niyat
1) “Nawaitu unn agtasila min guslil Hadas”.
Note:
1) Lafze
hadas ke jagah, jo Gusl kar rahe hai woh kahe, maslan agar juma ka Gusl kar
rahe ho toh youn kahe, “Nawaitu unn agtasila min guslil Juma”.
2) Agar janabat ka ho toh youn
kahe, “Nawaitu unn agtasila min guslil Janabat”.
Gusl ke Farayiz
Gusl me 3 Farz hai:
1) Kulli
karna
2) Naak
me paani chadhana
3) Tamaam
badan par paani bahana
1) Kulli Karna:
1) Muh ke
har purze, goshe, hont se halq ke jad tak har jagah paani bahjaye, masoode, daant ki khidkiyan zabaan ki har karwat me halq kinare tak paani bahjaye.
2) Roza na
ho toh garaara bhi kare, ke ye sunnath hai.
3) Daanto me
kuch atka ho toh nikaalna zaruri hai.
4) Gusl se
qabl daanto me reshe wagaira na ho, aur rahgaye Namaaz bhi padhli, baad me
maalum hone par nikaal kar paani bahaana farz hai, jo Namaaz padhi thi woh
hogayi.
2) Naak me paani chadhana:
1) Naak ke
naram haddi ke shuru tak paani chadhana chahiye aur ye youn ho sakega ke paani
ko soong kar upar khinche aur ye khayaal rakhe ke baal baraabar bhi sukha na
rahe warna Gusl nahi hoga.
2) Naak ke
andar agar raint sukhgayi hai toh uska nikaalna farz hai.
3) Naak ke
baalon ko dhoona bhi farz hai.
3) Tamaam zahiri badan par paani bahaana:
1) Sarke
baalon se lekar, paawon ke talwon tak, jism ke har purze aur har har ronkte par
paani bahaana zaruri hai.
2) Bhawoon,
muchon aur daadhi ka har baal ka jad se nook tak aur unke niche ki khaal ka
dhoona zaruri hai.
3) Naaf me
bhi paani dale, agar paani behene me shak ho toh naaf me ungli daal kar dhoye.
4) Zaqham
par patti wagaira bandhi ho usse kholne me nuqsaan ya haraj ho toh patti par hi
masa’a karlena kaafi hai.
5) Patti
zarurath se ziyada jagah ko ghere na ho warna masa’a kaafi na hoga.
Note:
1) Wazu me
jo baatein sunnath aur mustahab hai wahi Gusl me bhi hai.
2) Gusl me
tehband bandh kar nahana sunnath hai, tehband paak hona chahiye.
3) Naaf se
lekar ghutno tak ke hisse ko dhoolena sunnath hai.
4) Gusl me
wazu karna sunnath hai.
Behte paani se Gusl ka tariqa:
1) Agar
baithe paani maslan dariya ya nahar me nahaya toh thoodi deir ussme rukne se 3
baar dhoone, tarteeb aur Wazu ye sab sunnatein adaa hogayi, iss me ye bhi
zarurath nahi ke aaza 3 baar harkat de.
2) Agar
talaab wagaira there paani me nahaya toh 3 baar harkat dene ya jagah badalne se
tarteeb yaani 3 baar dhoone ki sunnath adaa ho jayegi.
3) Barsaath
me ya nal ya fauwwara(Shower) ke niche khade hona baithe paani me khade hone ke
hukm me hai.
4) Baithe
paani me Wazu keliye, thoodi deir ussme aaza ko rehene dena aur tehre paani me
harkat dena.
5) Wazu aur
Gusl ki inn tamaam suratoun me kulli karna aur naak me paani chadhana padega.
6) Fauwwara(shower)
ho toh usse achchi tarah dekhe ke uski taraf muh karke nange nahane me muh ya peeth
qiblah sharif ki taraf toh nahi.
7) Logon ke
saamne sitar khoolkar nahana haraam hai.
8) Satre
aurat(naaf se lekar ghutno tak) ko dekhne wala aur dikhane wala doono gunehgaar
hai, iss se hafiza kamzoor hota hai.
9) Satre
aurat har mard aur aurat se chupana hai, biwi, maa, behen inn se bhi chupana
hai.
10) Hamaam
me tanha nange naha rahe ho toh qible ke taraf muh ya peeth na rahe.
11) Zukhaam
ya koyi marz ho aur ye gumaan sahi ho ke sar se nahane me marz badh jayega toh
kulli kare, naak me paani chadhaye aur gardan se nahaye aur sarke har hisse par
bhiga huwa haat pher lijiye Gusl ho jayega baad sehath poora Gusl sar se karna
zaruri hai.
12) Agar
baalti ke zariye Gusl kare toh ehtiyaatan usse stool wagaira par rakhe taake
baalti me cheente na aaye, nez Gusl me istemaal karne ka loota(jug) bhi farsh
par na rakhe.
13) Baal me
giri(Gaant) pad jaye toh Gusl me usse khulkar paani bahana zaruri hai.
14) Jiss
paani me thodi si koyi paak cheez milgayi jaise gulaab, kewda, zaafraan wagaira
toh usse Wazu ya Gusl kar sakte hai.
15) Koyi
rang ya zaafraan paani me itna padhgaya ke kapade rang hi ke qabil hojaye toh
usse Wazu ya Gusl jayiz nahi.
Napaak ke haalath me kya kaam Na kare:
1) Masjid
me jaana, Tawaaf karna, Qur’aan paak chuna, Bechuye zabaani padhna, kisi aayath
ko likhna ya tamaam kaam haraam hai.
2) Agar
Qur’aan paak juzdaan me ho toh bewazu ya begusl juzdaan par haat lagane se
haraj nahi.
3) Issi
tarah kisi aise kapde ya rumaal wagaira se Qur’aan paak pakadna jayiz jo apne
taabi’a ho na Qur’aan paak ke.
4) Kurt eke
aasteen, dupatta ka aanchal se yahan tak ke chadar ka ek kona iske khande par
hai chadar ke dusre kone se Qur’aan paak ko chuna haraam hai ke ye sab cheez
iske taabiye hai.
5) Qur’aan
paak ki aayath dua ki niyyat se ya tabaruk ke liye padh sakte hai, ex:
Bismillah for eating and Alhamdulillah for sneezing.
6) 3 Qul.
Bila lafze Qul baniyyate sana padh sakte hai lafze Qul ke saath sana ki niyyat
se bhi nahi padh sakte.
7) Bewazu
Qur’aan ko ya kisi aayath ko chuna haraam hai, bagair chuye zabaani ya dekh kar
padne me muzaayaqa nahi.
8) Jis
bartan ya kothare par sura ya aayathe Qur’aani likhi ho bewazu aur begusl ko
iska chuna haraam hai, shifa ke niyyat se paani wagaira daal kar pi sakte hai.
9) Qur’aane
paak ka tarjuma, kisi zubaan me ho usko bhi padhna ya chune me Qur’aane paak hi
ka hukm hai.
10) Bewazu
ya begusl deeni kitaabein chuna makruh-e-tanzihi hai.
11) Jin par
Gusl farz ho unko darood sharif aur duayein padhne me haraj nahi, magar behtar
ye hai ke Wazu ya kulli karke padhe.
12) Azaan ka
jawaab dena jayiz hai, yaani begusl azaan ka jawaab desakte hai.
Note:
· Gusl khane me peshaab karne se rozi me
tangdasti hoti hai aur wasswasa paida hote hai.
· Jisspar chand Gusl ho maslan Eid,
Ehtelaam toh dono ki niyyat karke, ek Gusl karle sab adaa hogayi aur sab ka
sawaab milega.
· Paani me doodh padh gaya, ke paani doodh
jaisa rang hogaya toh Wazu ya Gusl jayiz nahi.
Kab Gusl karna sunnath:
1) Juma
2) Eidul
fitr aur Eidul zuha
3) Arfa ke
din yaani 9 Zul Hajja
4) Ehraam
baandte waqt.
Bachcha kab baalig hota hai ?
1) Ladke ko
12 se 15 saal ki umr ke dauraan aur ladki ko 9 se 12 saal ki umr ke dauraan,
jab pehli baar ehtelaam ho, baalig hogaya.
2) Ehtelaam
ke zariye baalig hone ki surath me innper Gusl farz hogaya.
3) Agar
koyi alaamath na paayi gayi toh dono ladka aur ladki 15 saal ki umr me baalig
mana jayega.
Note: Baalig hone par Namaaz-e-panchgana aur Roza
farz ho jata hai.
Reference: Kanoon-e-Shariat, Risala (Gusl ka tarika).
0 comments:
Post a Comment