SAWAAL: Taqdeer kise kehte hai ?
JAWAAB: Duniya me jo kuch hai aur bande jo kuch
bhalayi burayi karte hai Khudaye Ta’ala ne usse apne Ilm ke muafiq pehle se
likh diya hai usse Taqdeer kehte hai.
SAWAAL: Kya Allah Ta’ala ne jaisa hamari Taqdeer me
likh diya hai hame majburan waisa karna padhta hai ?
JAWAAB: Nahi
Allah Ta’ala ke likh dene se hame majburan waisa karna nahi padhta hai, balke
hum jaisa karne waale the Allah Ta’ala ne apne Ilm se waisa likh diya agar kisi
ki Taqdeer me burayi likhi toh iss liye ki woh burayi karne wala tha, agar woh
bhalayi karne wala hota toh Khudaye Ta’ala uski Taqdeer me bhalayi likhta
khulasa ye ki Khudaye Ta’ala ke likh dene se banda kisi kaam ke karne par
majbur nahi kiya gaya. Taqdeer haq hai
uska inkaar karne wala gumrah budmazhab hai
0 comments:
Post a Comment