SAWAAL: Hamare Nabi koun hai ? Unka kuch haal bayan
kijiye ?
JAWAAB: Hamare Nabi Hazrath MUHAMMED MUSTAFA
Sallallahu Alaihi Wasallam hai, jo 12
Rabiul Awwal Mutaabik 20 April sun 571 EO me Makka shareef me paida huwe unke
walid ka naam Hazrath-E-Abdullah aur waalida ka naam Hazrath-E-Aamina
Radiallahu Ta’ala Anhuma hai. Aap ki
zahiri zindagi Tirsat (63) baras ki huwi, Tirpan (53) baras ki umr tak Makka
shareef me rahe fir dus saal Madeena Taiba me rahe 1 ya 2 Rabiul Awwal sun 632 EO zahiri
zindagi me wafaath paayi, Aapka mazare mubaarak Madina shareef me hai. Jo Makka shareef se takreeban 320 km uppar
hai.
SAWAAL: Hamare Nabi ke kuch khubiya bayan kijiye ?
JAWAAB: Hamare Nabi Sayyidul Ambiya aur Nabiul Ambiya
yani Ambiyaikiram ke Sardar hai aur tamaam Ambiya Huzur ke Ummathi hai. Aap Qatimun Nabiyeen hai, yani aap ke baad
koi Nabi nahi paida hoga. Jo shaks aap
ke baad Nabi hone ko jayiz samjhe woh kaafir hai. Saari Maqluqath Khudaye Ta’ala ki Raza chahti
hai, aur Khudaye Ta’ala Huzur ki Raza chahta hai. Huzur ki farmabardari Allah
Ta’ala ki farmabardari hai. Zameen wa
aasmaan ki saari cheezein aap par zahir thi duniya ke har goshey aur har koney
me Qiyamat tak jo kuch hone wala hai.
Huzur usse iss tarha mulahiza farmate hai, jaise koi apni hatheli dekhe,
upar, neeche, aage aur peeche yaksa dekhte hai.
Aap ke liye koi cheez aad nahi ban sakthi Huzur jaante hai ke zameen ke
andar kaha kya ho raha hai, khushu jo dil ki ek kaifiyath ka naam hai, Huzur
usse bhi mulahaza farmate hai, hamare chalne, firne, uthne, baithne, khane
peene wagaira har khaul wa fail ki Huzur ko har waqt qabar hai.
SAWAAL: Kya hamare Nabi zinda hai ?
JAWAAB: Hamare Nabi aur tamaam Ambiya-e-karam
alaihissalaam zinda hai. Hadees shareef
me hai ke sarkare akdas sallallahu alaihi wa sallam ne farmaya ki Khudaye
Ta’ala ne zameen par Ambiya-e-karam alaihissalaam ke jismon ko khana haraam
farmadiya hai. Toh Allah ke Nabi zinda hai rozi diye jaate hai. (Mishkath
Shareef 121 P).
SAWAAL: Jo shaks Ambiya-e-karam ke baare me kahe ke
marker mitti me milgaye toh uske liye kya hukm hai ?
JAWAAB: Aisa kehne wala gumrah budmazhab khabees hai.
0 comments:
Post a Comment