Fazilath: 12vi
ki nisbat se Miswak ke 12 fazilatein.
1) Miswak tamaam Rasoolon
ki sunnath hai.
Note: Chaar (4) cheezain
tamaam Rasoolon ki sunnath hai.
1) Khatna karna 3) Miswak karna
2) Itr lagaana 4) Nikah karna
2) Jo Miswak ka aadi hai,
uske liye Ambiya aur Rasool (Alaihissalaam) uske liye dua-e-magfirath karte
hai.
3) Miswak shaitaan ko
naaraaz kardeti hai aur usko door kar deti hai.
4) Miswak naza me asaani
aur kalmaye shahadath yaad dilaati hai.
5) Jo Miswak ka aadi hai
uski qabar ko farakh kiya jaata hai aur qabar me araam aur sukun paata hai.
6) Qiyamath me naamaye
aamaal seedhe haat me dilaati hai.
7) Pul siraath se bijli
ki tarah tezi se guzaar deti hai.
8) Uske liye Jannath ke
darwaaze khool diye jaate hai aur Jahannum ke darwaaze band kar diye jaate hai.
9) Malakul mauth uski
rooh kabz karne ke liye, aisi shakal me aate hai jiss shakal me Ambiya (Alaihissalaam)
ki rooh kabz karte the.
10) Miswak namaaz ke
sawaab ko 70, 99 ya 400 guna badha deti hai.
11) Miswak me mauth ke
siwa har bimaari (marz) se shifa hai.
12) Sabse badi fazilath Miswak
ki ye hai ke, Miswak ko istemaal karne wale se Allah Azzawajal raazi ho jata
hai.
Miswak ke
mutaliq chand zaroori Batain:
1) Miswak ki motayi
chooti ungli ke baraabar ho aur lambayi zyada se zyada ek baalisht ho, ek
baalisht se zyada lambi ho to shaitaan sawaar karega.
2) Miswak ko pakadne ka
tariqa: chooti ungli Miswak ke niche aur beech ke teen ungaliyan upar aur
angotha niche sire par ho.
3) Miswak ko karne ka
tariqa: Pehle seedhe taraf upar ke daanto ko Miswak kare, phir ulte taraf bhi
upar hi ke daanto par Miswak kare phir seedhe taraf niche ke daanto par phir
ulte taraf niche ke daanto par iss tarah kammaz kam 3 baar kare aur har martaba
Miswak ko dhoole.
4) Mutti baand kar Miswak
na kare iss se bawsiri ho jaane ka andesha hai.
5) Miswak iss tarah khade
rakhe ke reshe upar ke jaanib ho.
6) Daanto ke chaudayi me
Miswak kare, lambayi me na kare, ke masoode zakhmi hone ka andesha hai.
7) Miswak jab khabile
istemaal na rahe uss ko phenk na de, usse kisi jagah ehtiyaat se rakhde ya
dafan karde ya samandar me dalde.
8) Miswak ko zameen par
daal dene se paagal hone ka andesha hai.
9) Islami behene bhi
Miswak kar sakti hai.
10) Miswak na rahe toh
ungli se maanj ne ka tariqa: Muh ke
seedhe(right) jaanib me upar niche angothe se saaf kare aur phir ussi tarah
ulte(left) jaanib shahadath ki ungli se kare.
11) Miswak aadha Wazu hai.
Miswak kab karna sunnath hai:
1) Wazu me Miswak karna
sunnate muakkida hai.
2) Sote waqt Miswak
karna.
3) Sokar utne(jaag ne)
par.
4) Ghar me dakhil hote
hi.
5) Sote waqt Miswak
khareeb rakh kar sona sunnath hai.
6) Jab bhi muh me badboo
hojaye toh usko door karne ke liye
Miswak karna sunnath.
7) Tilawath karne se
qabl.
8) Daurane safar jahan
jahan manzil par utre, waha par Miswak karna sunnath.
9) Khana khane ke baad
Miswak karna do miskeen gulaam aazaad karne se afzal hai.
10) Miswak karna sunnath
hai jab bhi jichahe Miswak kare sunnath adaa hogi.
11) Ghar me dakhil hone
par aur ghar se bahar nikalte waqt Miswak kare.
Miswak ke Mazeed 6 fazilatein:
1) Miswak karne waalon ko
Qiyamath tak hone wale musalmano ki ginti ke baraabar nekiyan ataa ki jayegi.
2) Miswak karne se hafiza
tez hota hai aur akal ko badati hai.
3) Miswak se rozi me
barkath hoti hai.
4) Miswak nazar ko tez
karti hai.
5) Miswak se sar dard
door hota hai aur sar ke tamaam ragon ko sukun milta hai.
6) Miswak balgam ko door
karti hai aur dil ko paak karti hai.
Ref: Faizan-e-Sunnat (Old)
0 comments:
Post a Comment