Jiska
Wazu naho ya nahane ki zarurath ho aur pani par khudrath naho toh Wazu aur Gusl
ki Jagah Tayammum kare.
Pani par khudrath na hone ke
chand suratein:
I.Bimari:
1. Aaisi bimari ho ke
Wazu ya Gusl se iska badhne ka sahi andesha ho, khud aazmaya ho ya parhezgaar
musalmaan hakim ne kaha ho.
2. Garam pani se ya garam
waqt(dopahar-afternoon) Gusl ya Wazu kar sakhta hai toh Tayammum jayiz nahi.
3. Agar kisi khaas aaza
me pani nuqsaan karta hai aur baaki me nahi toh jisme nuqsaan karta hai uss par
masa’a kare aur baaki ko dhoole.
4. Agar kisi aaza par
masa’a bhi nuqsaan karta ho toh, aaza par kapade daalkar uss par masa’a kare.
5. Zakham ke kinare
kinare jahan tak paani nuqsaan nakare, patti wagaira khool kar dhoona farz hai,
agar patti kholne me toh nuqsaan ho toh patti par masa’a kare.
II. Pani ke liye Talash:
1. Apne charon taraf ek
ek meel(Kilo Miter) tak paani ka pata nahi toh Tayammum jayiz, bina talaash ke
najayiz.
2. Bina talaash ke
Tayammum karke namaaz padhli aur talaash karne par milgaya toh namaaz ko iyada (dohrana)
laazim hai.
3. Namaaz padhte me kisi
ke paas paani dekha aur gumaan gaalib hai ke mangne se dega toh namaaz todhke
paani maange.
4. Panni talaash karne me
qafila nazar se gayib hojaya ya rail chali jayegi toh Tayammum jayiz ahi
III. Dool Rassi Na hoo:
Jungal
me dool rassi nahi ke paani bhare toh Tayammum jayiz hai.
IV. Najaasath Lagahoo
Badan
ya kapade par itni najaasath hai ke, jitni najaasath ke hote huye namaaz jayiz
nahi aur paani sirf itna hai ke chahe Wazu kare ya najaasath door kare, toh
paani se najaasath dhoye aur phir dhone ke baad Tayammum kare, Tayammum pehele
nakare.
VI. Namaaz Chutrahi hoo tho
Wazu
ya Gusl karne se Eidain ya namaaze janaaze jaati rahegi toh Tayammum jayiz hai.
Wazu
karne me zohar, magrib ya isha ya juma ki pichli sunnaton ka ya chaast ka waqt
jata raha toh Tayammum karke padhle. Wazu ya Gusl karke iyada(dohrana) karna
lazim hai.
v Qur’aan sharif chune keliye ya
sajda-e-tilawat karne keliye ya sajda-e-shukar ada karne keliye ya Tayammum
jayiz nahi, jab ke paani par khudrath ho.
Tayammum ka tariqa:
Niyyat
karke, Bismillah sharif padhkar, apne dono haaton ke ungaliyoun ko kushada karke
kisi aaisi paak cheez par jo zameen ki qism se ho, maarkar uthaalijiye aur agar
ziyada gard lagjaye toh chaadlijiye aur uss se saare chehre ka iss tarha masa’a
kare ke koyi hissa sukha na rahe, phir dubara issi tarha zameen par maarkar
dono haaton ke naakhoon se lekar kohniyoun sameth masa’a kare behtar tariqa ye
hai ke ulthe haat ke angothe ke alawa char ungaliyoun ka pet seedhe haat ki
pushth par rakhe aur ungaliyoun ke sarse kohniyoun tak lejaye phir wahan se
ulte hi haat ki hateli se seedhe haat ke pet ko masa’a karte huye ghatto tak
laye aur ulte angothe ke pet se seedhe anghote ke pushth ka masa’a kare, iss
tarha seedhe haat ulta haat ko masa’a kare.
1) Saare chehre par haat
phere baal baraabar koyi jagah baaki na rahjaye nahi toh Tayammum na hoga, ussi
tarha haato ko bhi.
2) Daadhi, moonche, bhawoon
ke baalon par haat pherna zaruri hai.
3) Agar ungaliyoun me
gard na pahunchi ho toh khilal karna farz hai nahi toh sunnath hai aur issi
tarha daadhi me bhi.
4) Gusl aur Wazu keliye
ek hi niyyat kaafi hai aur unka Tayammum ek hi tarha hota hai.
Kin cheezon se Tayammum jayiz
Jambis:
Zamin se jayiz hai chahe upar warna nahi.
Jambis:
Jo cheez aag se jalkar na raakh hoti hai, na pakti hai, na naram hoti hai.
Maslan:
Mitti, Gard, Chuna, Surma.
1) Jisse Tayammum kar
rahe hai, woh paak hona zaruri hai.
2) Jiss cheez par
najaasath giri aur sukhgayi, iss se Tayammum nahi hoga, namaaz pad sakhte hai.
3) Raakh se Tayammum nahi
ho sakta, agar khaakh me raakh miljaye aur khaakh zyada ho toh Tayammum jayiz
hai.
4) Bhigi mitti se
Tayammum jayiz jab ke mitti galib ho.
5) Agar kisi lakadi ya
kapade wagaira par itni gurd hai ke haat maarne se ungaliyoun ka nishaan
banjaye toh iss se Tayammum jayiz hai.
6) Pakki eent(Brick) par
Tayammum jayiz hai.
7) Kaanch ke diwaar par
jayiz hai.
8) Masjid me soo raha tha
Gusl farz hogaya toh jahan tha wahi fauran Tayammum karle, phir baahar nikal
aaye taakhir karna haraam hai.
9) Angothi ya ghadi
wagaira pehene ho toh utaar kar unke niche haat pherna farz hai.
10) Hoont ka woh hissa jo
aadatan muh band hone ki haalath me dikhayi deta ho iss par masa’a hona zaruri
hai.
11) Diwaar par oil paint,
plastic paint, met fansh ya wall paper wagaira koyi aisi cheez nahi honi
chahiye jo jinse zameen ke alawa ho, maarbal ho toh koyi haraj nahi.
Tayammum ko todne wali cheezain:
1) Jin cheezon se Wazu
toot jata hai aur Gusl wajib ho jata hai, inn se Tayammum jaata rahega aur
paani par khudrath hone par bhi toot jayega.
2) Aaise makhaam par
guzra ke paani ek meel(Kilo Miter) ke andar tha, Tayammum toot gaya paani tak
pahunchna zaruri nahi.
3) Mariz ne Gusl ka
Tayammum kiya tha aur aub itna tandarust hogaya ke nahana nuqsaan na karega toh
Tayammum jata rahega.
4) Itna paani mila ke
sirf aaza ya Wazu ek ek baar dho sakhte hai toh toot jayega.
5) Kisine Gusl aur Wazu
ke liye ek hi Wazu kiya tha, phir Wazu tootne waali koyi cheez paayi gayi ya
itna paani mila jiss se sirf Wazu kar sakhte hai, Bimaar tha aur aub tandarust
hogaya Wazu nuqsaan na karega, toh sirf Wazu ke haq me Tayammum jata rahe aur
Gusl ke haq me nahi.
Tayammum Ke Farayiz
1) Niyyat.
2) Saare chehre par haat
pherna.
3) Kohniyoun sameth doono
haaton ka masa’a karna.
Tayammum ke sunnatein
1) Bismillah sharif
kehena.
2) Haaton ko zamin par
maarna.
3) Zamin par haat maarkar
loot dena yaani haat aage piche ghissna.
4) Ungaliyoun ko khuli
rakhna.
5) Haaton ko chaadlena
yaani ek haat ke angothe ki jad ko dusre haat ke angothe ki jad par maarna
magar yeh ehtiyaat rahe ke taali ki awaaz paida na ho.
6) Pehle chehre par haat
ka masa’a karna.
7) Dono ka masa’a pe
darpe karna.
8) Pehle seedhe, phir
ulte haat ka masa’a karna.
9) Daadhi ka khilaal
karna.
10) Ungaliyoun ka khilaal
karna jab ke gubaar pahunch gaya ho, agar gubaar na pahuncha ho toh khilaal
farz hai, khilaal ke liye dubara zamin par haat karna zaruri nahi.
0 comments:
Post a Comment