SAWAAL: Rasool aur Nabi koun hote hai ?
JAWAAB: Rasool aur Nabi Khudaye Ta’ala ke bande aur
insaan hote hai. Allah Ta’ala ne unko
insaan ki hidayath ke liye duniya me bheja hai. Who bandon tak Khudaye Ta’ala
ka paigaam pahunchate hai. Moujize dikhate
hai, aur gaib ki baatein batate hai, Jhoot kabhi nahi bolte woh har gunah se
paak saaf hote hai, unki tadaad kuch kam wa besh ek lakh choubees hazaar ya
takreeban do lakh choubees hazaar hai, sab se pehle Nabi Hazrath-E-Aadam
Alaihissalaam hai aur sab se aakhri Nabi Hamare Paigambar Hazrath MUHAMMED MUSTAFA Sallallahu Ta’ala
Alaihiwasallam hai.
SAWAAL: Kya hum Hindoun ke peshwawon ko Nabi keh
sakte hai ?
JAWAAB: Kisi shaks ko Nabi kehne ke liye Quraan wa
Hadees se subooth chahiye aur Hindoun ke peshwawon ke Nabi hone par Quraan wa
Hadees se koi subooth Nahi milta iss liye ham unhe Nabi nahi keh sakte.
0 comments:
Post a Comment