SAWAAL: Khudaye ta’ala ki Kitaabe kitni hai ?
JAWAAB: Khudaye ta’ala ki choti choti bahut si
kitaabe nazil huwi badi kitaab ko kitaab aur choti kitaab saheefah kehte hai,
unme chaar kitaabe bahut mashoor hai,
1) TAURAITH jo Hazrath-E-MOOSA
Alaihissalaam par nazil huwi
2)ZABOOR jo Hazrath-E-DAWOOD Alaihissalaam
par nazil huwi
3) INJEEL jo Hazrath-E-ISA Alaihissalaam par nazil huwi,
4)QUR’AAN jo hamare Nabi Huzur MUHAMMED MUSTAFA Sallallahu Alaihi Wasallam par nazil huwi.
SAWAAL: Poora Quraane majeed ek dafa nazil huwa ya
thoda thoda ?
JAWAAB: Poora Quraane majeed ek dafa ekhatta nahi
nazil huwa balke zaroorath ke mutaabik teyis (23) baras me thoda thoda nazil
huwa.
SAWAAL: Kya Quraan majeed ki har surat aur har aayat
par Imaan laana zaruri hai ?
JAWAAB: Haan Quraan majeed ki har surat par Imaan
laana zaruri hai agar ek aayat ka bhi inkaar karde ya yeh ki Quraan jaisa nazil
huwa tha aub waisa nahi hai, balki ghata bada diya gaya hai toh woh kaafir hai.
0 comments:
Post a Comment