SAWAAL: Marne ke baad zinda hone ka matlab kya hai ?
JAWAAB: Marne ke baad zinda hone ka matlab ye hai ki
Qiyamat ke din jab zameen, aasmaan, insaan aur farishtey wagaira sab fana ho
jayenge toh fir Khudaye Ta’ala jab chahega Hazrath-E-ISRAFEEL Alaihissalaam ko zinda
farmayega who dubara soor Phunkenge, toh sab cheezein moujud ho jayengi. Farishtey aur Aadmi wagaira sab zinda ho
jayenge murde apni apni qabron se uthenge, Hashr ke maidaan me Khudaye Ta’ala
ke saamne peshi hogi, Hisaab liya jayega aur har shaks ko achche bure kaamo ka
badla diya jayega yaani achcho ko Jannat milegi aur buro ko Jahannam me bhej
diya jayega Hisaab aur Jannat wa Dozaq haq hai unka inkaar karne wala kaafir
hai.
0 comments:
Post a Comment