12 Jan 2014

- Balaghal Ula Bi Kamalihi


Balaghal ula bi kamalihi kashafad duja bijamaalihi
Hasunat jami okhisalihi sallu alaihi wa aalihi 

Woh kamaal-e-husne-huzoor hai ke gumaan-e-naks jaha nahi
Yehi phool khaar se door hai yehi shamma hai ke dhua nahi

Mein nisaar tere kalaam par milee youn to kiss ko zubaan nahi
Woh sukhan hai jis mein sukhan na ho wo bayan hai jis ka bayan nahi

Ba khuda khuda ka yehi hai dar nahi aur koi maffar maqqar
Jo waha say ho yaheen aake ho jo yahan nahi to wahan nahi

Tere aage youn hain dabbe lache fusaha arab ke barre barre
Koi jaane mu mein zubaan nahi nahi balke jism mein jaan nahi

Sar-e-Arsh par hai teri guzar dil-e-farsh par hai teri nazar
Malakoot-o-mulk mein koi she nahi woh jo tujh pe aayan nahi

Karoon tere naam pe jaan fida na bus aik jaan do jahaan fida
Do jahaan say bhi nahi ji bhara karoon kya karoro jahaan nahi

Karoon madh-e-ahle doal Raza parre is balaa mein meri balaa
Mein gadaa hoon apne kareem ka mera deen para-e-naa nahi

0 comments:

Post a Comment